KHasara sare jiwan ka
abhī mat chheḌnā mujh ko
abhī har zaḳhm kaarī hai
abhī us kī judā.ī kī faqat ajrak utārī hai
abhī sadme uThāne haiñ
ka.ī lamhe mohabbat ke aziyyat meñ bitāne haiñ
mire har zaḳhm ko hamdam abhī nāsūr honā hai
baḌī lambī masāfat hai
thakan se chuur honā hai
abhī palkoñ ko chūmeñge tumhārī yaad ke jugnū
tumhāre qurb kī ḳhushbū tumhārī baat kā jaadū
abhī kuchh bhī nahīñ bigḌā
abhī kuchh bhī nahīñ badlā
abhī to saañs kī lai par har ik ḳhvāhish machaltī hai
abhī to mausam-e-hijrāñ gumāñ kī ibtidā meñ hai
abhī band-e-qabā meñ hai
abhī to nā-tamāmī kā samundar paar karnā hai
abhī ḳhud se ulajhnā hai
abhī ḳhud se mukarnā hai
abhī hamrāh rakhnā hai ḳhasārā saare jīvan kā
shajar dil meñ ugānā hai
ziyāñ ke zard sāvan kā
abhi mat chheDna mujh ko
abhi har zaKHm kari hai
abhi us ki judai ki faqat ajrak utari hai
abhi sadme uThane hain
kai lamhe mohabbat ke aziyyat mein bitane hain
mere har zaKHm ko hamdam abhi nasur hona hai
baDi lambi masafat hai
thakan se chur hona hai
abhi palkon ko chumenge tumhaari yaad ke jugnu
tumhaare qurb ki KHushbu tumhaari baat ka jadu
abhi kuchh bhi nahin bigDa
abhi kuchh bhi nahin badla
abhi to sans ki lai par har ek KHwahish machalti hai
abhi to mausam-e-hijran guman ki ibtida mein hai
abhi band-e-qaba mein hai
abhi to na-tamami ka samundar par karna hai
abhi KHud se ulajhna hai
abhi KHud se mukarna hai
abhi hamrah rakhna hai KHasara sare jiwan ka
shajar dil mein ugana hai
ziyan ke zard sawan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.