KHasare yun bhi hote hain
tumhārī ma.azarat kā koī bhī andāz
merī be-sadā hotī huī dhaḌkan ko
ab Thahrā nahīñ saktā
mire kuchh besh-qīmat ḳhūbsūrat mausamoñ ko
aur ḳhvāboñ ko
kabhī lauTā nahīñ saktā
tumheñ shāyad kabhī is kī ḳhabar bhī ho
basā-auqāt dil is zāviye se TuuT jaate haiñ
ḳhasāre yuuñ bhī hote haiñ
ki jin kī zindagī bhar kuchh talāfī ho nahīñ saktī
koī qīmat evaz ḳhvāboñ ke kaafī ho nahīñ saktī
tumhaari mazarat ka koi bhi andaz
meri be-sada hoti hui dhaDkan ko
ab Thahra nahin sakta
mere kuchh besh-qimat KHubsurat mausamon ko
aur KHwabon ko
kabhi lauTa nahin sakta
tumhein shayad kabhi is ki KHabar bhi ho
basa-auqat dil is zawiye se TuT jate hain
KHasare yun bhi hote hain
ki jin ki zindagi bhar kuchh talafi ho nahin sakti
koi qimat ewaz KHwabon ke kafi ho nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.