KHat-e-rah-guzar
silsile ḳhvāb ke gumnām jazīroñ kī tarah
sīna-e-āb pe haiñ raqs-kunāñ
kaun samjhe ki ye andesha-e-fardā kī fusūñ-kārī hai
maah o ḳhurshīd ne pheñke haiñ ka.ī jaal idhar
tīrgī gesu-e-shab-tār kī zanjīr liye
mere ḳhvāboñ ko jakaḌne ke liye aa.ī hai
ye tilism-e-sahr-o-shām bhalā kyā jaane
kitne dil ḳhuun haiñ añgusht hinā.ī ke liye
kitne dil bujh ga.e jab rū-e-nigārāñ meñ chamak aa.ī hai
ḳhvāb haiñ qaid-e-makāñ qaid-e-zamāñ se aage
kis ko mil saktā hai uḌte hue lamhoñ kā surāġh
kitnī sadiyoñ kī masāfat se ubhartā hai
ḳhat-e-rāh-guzār
silsile KHwab ke gumnam jaziron ki tarah
sina-e-ab pe hain raqs-kunan
kaun samjhe ki ye andesha-e-farda ki fusun-kari hai
mah o KHurshid ne phenke hain kai jal idhar
tirgi gesu-e-shab-tar ki zanjir liye
mere KHwabon ko jakaDne ke liye aai hai
ye tilism-e-sahr-o-sham bhala kya jaane
kitne dil KHun hain angusht hinai ke liye
kitne dil bujh gae jab ru-e-nigaran mein chamak aai hai
KHwab hain qaid-e-makan qaid-e-zaman se aage
kis ko mil sakta hai uDte hue lamhon ka suragh
kitni sadiyon ki masafat se ubharta hai
KHat-e-rah-guzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.