KHat
yūñhī
kuchh talāsh karte hue achānak
ik purānā aur bosīda ḳhat milā hai
guzishta ka.ī sāloñ kā tavīl rāsta yuuñ pal bhar meñ tai ho gayā hai
yādoñ ke jharokoñ se
lagā hai jhāñkne
shaam kā vahī hasīn manzar
us purze ne merī uñglī thaam lī
aur le aaya hai mujhe
un hī derīna rāstoñ tak maazī ke gum-shuda fāsloñ tak
usī sāhil par
jis kā zikr is ḳhat meñ hai
yādoñ ke us khet tak
samundar kī ThanDī ret tak
kachche kachche vo gharauñde
jo vaqt ne miTā diye hoñge
yaad aaya hai mujh ko vo guzrā zamāna
vo aarzī sā koī Thikāna
lekin ye kyā
samundar kā vo namkīn paanī
jis ne kabhī mere pairoñ ko bhigo diyā thā aaj vahī namak merī āñkhoñ meñ utartā jā rahā hai
aur ye ma.asūm purza mere hāthoñ meñ thartharā rahā hai
yunhi
kuchh talash karte hue achanak
ek purana aur bosida KHat mila hai
guzishta kai salon ka tawil rasta yun pal bhar mein tai ho gaya hai
yaadon ke jharokon se
laga hai jhankne
sham ka wahi hasin manzar
us purze ne meri ungli tham li
aur le aaya hai mujhe
un hi derina raston tak mazi ke gum-shuda faslon tak
usi sahil par
jis ka zikr is KHat mein hai
yaadon ke us khet tak
samundar ki ThanDi ret tak
kachche kachche wo gharaunde
jo waqt ne miTa diye honge
yaad aaya hai mujh ko wo guzra zamana
wo aarzi sa koi Thikana
lekin ye kya
samundar ka wo namkin pani
jis ne kabhi mere pairon ko bhigo diya tha aaj wahi namak meri aankhon mein utarta ja raha hai
aur ye masum purza mere hathon mein tharthara raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.