KHauf
saa.e saa.e jaale jaale ḳhāmoshī ḳhāmoshī sī
TuuTī TuuTī uljhī uljhī be-ḳhvābī be-ḳhvābī sī
harfoñ se bachtā bachtā ma.anī se chhuptā chhuptā
rañgoñ meñ Duubā Duubā sāñsoñ meñ ubhrā ubhrā
zarroñ meñ chamkā chamkā lahroñ meñ sahmā sahmā
tez havā ke jhoñkoñ meñ ruk ruk kar uḌtā uḌtā
nashtar zahr mohabbat dard ḳhuun ke ik ik qatre meñ
rah rah kar chubhtā chubhtā
kyā hai ye
kaun hai ye
aañsū ret bane kaise palkoñ pe chamke kaise
har manzil par lahrātā hai kab se zard pharerā kaun
TuuTe ādarshoñ ke shīshe gintā hai vo baiThā kaun
mere har iz.hār meñ pinhāñ be-ma.anī ḳhāmosh kyuuñ
mere thak ke so jaane meñ ḳhvāboñ meñ bechainī kyuuñ
mere baam se uḌ jaatā hai qatra qatra nasha kyuuñ
ye roz-o-shab saare lamhe nanhe nanhe TukḌe TukḌe
rag rag meñ paivast hue ḳhuun bane dard bane
ik muddat se sub.h-e-azal se
merī ruuh meñ kaun chhupā hai
kaun chhupā hai
sae sae jale jale KHamoshi KHamoshi si
TuTi TuTi uljhi uljhi be-KHwabi be-KHwabi si
harfon se bachta bachta mani se chhupta chhupta
rangon mein Duba Duba sanson mein ubhra ubhra
zarron mein chamka chamka lahron mein sahma sahma
tez hawa ke jhonkon mein ruk ruk kar uDta uDta
nashtar zahr mohabbat dard KHun ke ek ek qatre mein
rah rah kar chubhta chubhta
kya hai ye
kaun hai ye
aansu ret bane kaise palkon pe chamke kaise
har manzil par lahraata hai kab se zard pharera kaun
TuTe aadarshon ke shishe ginta hai wo baiTha kaun
mere har izhaar mein pinhan be-mani KHamosh kyun
mere thak ke so jaane mein KHwabon mein bechaini kyun
mere baam se uD jata hai qatra qatra nasha kyun
ye roz-o-shab sare lamhe nanhe nanhe TukDe TukDe
rag rag mein paiwast hue KHun bane dard bane
ek muddat se subh-e-azal se
meri ruh mein kaun chhupa hai
kaun chhupa hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-265 p-253)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.