daa.im to falak nazdīk nahīñ rahtā
to ab tū haath baḌhātā hai
aur taare toḌtā jaatā hai
jab duur magar ik din ye falak ho jā.egā
tab kyā is ko samjhā.egā
ye bhī to mumkin hai lekin
is vaqt darīda ḳhud us kā bhī dāman ho
aur vo ḳhud bhī ye jāntī ho
ki āḳhir vo din aatā hai
jab duur falak ho jaatā hai
daim to falak nazdik nahin rahta
to ab tu hath baDhata hai
aur tare toDta jata hai
jab dur magar ek din ye falak ho jaega
tab kya is ko samjhaega
ye bhi to mumkin hai lekin
is waqt darida KHud us ka bhi daman ho
aur wo KHud bhi ye jaanti ho
ki aaKHir wo din aata hai
jab dur falak ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.