KHauf
go āñkhoñ se mahrūm the mere baabā
magar qalb-e-raushan to thā paas un ke
na jaane maiñ kyoñ
sharārat bhī koī kartā na thā
bahan-bhā.iyoñ ko satātā na thā
churā kar miThā.ī bhī khātā na thā
maiñ schōl se jī churātā na thā
yahī ḳhauf rahtā thā har lamha mujh ko
abhī jaise baabā mujhe dekh leñge
ḳhafā hoñge DāñTeñge chillā.eñge
ġhussa kareñge
go āñkhoñ se mahrūm the mere baabā
go aankhon se mahrum the mere baba
magar qalb-e-raushan to tha pas un ke
na jaane main kyon
shararat bhi koi karta na tha
bahan-bhaiyon ko satata na tha
chura kar miThai bhi khata na tha
main school se ji churaata na tha
yahi KHauf rahta tha har lamha mujh ko
abhi jaise baba mujhe dekh lenge
KHafa honge DanTenge chillaenge
ghussa karenge
go aankhon se mahrum the mere baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.