KHauf
ḳhauf se mere lab
āsmāñ kī tarah niile
āñkheñ parbat kī mānind
be-jān haiñ
ye calender
is ko chhupā do kahīñ
is ghaḌī ko kahīñ dafn kar do
ye Tik-Tik
mere kaan meñ rail kī chīḳh banñe lagī hai
merī sāñsoñ se kaalā dhuāñ sā
nikaltā hai maiñ
kahāñ jā rahā huuñ
ye sūraj kī engine meñ dahke hue
ko.ele haiñ
sayyāre
pahiyoñ ke mānind luḌhke chale jā rahe haiñ
kahāñ
vaqt
rail kī paTriyoñ se phisal kar
nīche girne ko hai
KHauf se mere lab
aasman ki tarah nile
aankhen parbat ki manind
be-jaan hain
ye calender
is ko chhupa do kahin
is ghaDi ko kahin dafn kar do
ye Tik-Tik
mere kan mein rail ki chiKH banne lagi hai
meri sanson se kala dhuan sa
nikalta hai main
kahan ja raha hun
ye suraj ki engine mein dahke hue
koele hain
sayyare
pahiyon ke manind luDhke chale ja rahe hain
kahan
waqt
rail ki paTriyon se phisal kar
niche girne ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.