KHauf
pichhle baras maiñ tanhā.ī se
pahlī baar Darā
tanhā.ī kā ḳhauf nasoñ meñ
ḳhuuñ kī tarah bahā
maiñ ne ghar ke darvāze par
qufl lagānā chhoḌā
bāhar vaqt-guzārī kartā
ghar meñ aanā chhoḌā
maiñ kamzor nahīñ huuñ lekin
Dar sā lagtā hai
tanhā.ī meñ marne kā Dar
pīchhā kartā hai
pichhle baras main tanhai se
pahli bar Dara
tanhai ka KHauf nason mein
KHun ki tarah baha
main ne ghar ke darwaze par
qufl lagana chhoDa
bahar waqt-guzari karta
ghar mein aana chhoDa
main kamzor nahin hun lekin
Dar sa lagta hai
tanhai mein marne ka Dar
pichha karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.