khaulta kyon nahin hai lahu
kitāboñ meñ maiñ ne paḌhā thā
ki lākhoñ baras qabl
rū-e-zamīñ par jo haivān the
un kā ḳhuuñ sard thā
vo bahut sust rau the
kitāboñ meñ maiñ ne paḌhā thā
ki lākhoñ baras qabl
mausam zamīñ kā achānak jo badlā
to ThanDe lahū vaale haivān saare fanā ho ga.e
aur un kī jagah kuchh na.e jānvar zindagī kī alāmat bane
ḳhuun meñ jin ke garmī hai
un meñ se kuchh bolte bhī samajhte bhī haiñ
par mujhe aisā mahsūs hotā hai
shāyad ye bāteñ kitābeñ ġhalat haiñ
jidhar dekhtā huuñ udhar ḳhuun kī naddiyāñ bah rahī haiñ
jidhar dekhtā huuñ udhar zulm kī āñdhiyāñ chal rahī haiñ
agar garm hai ḳhūn-e-insāñ to phir zulm par khaultā kyoñ nahīñ hai
sitam ko sitam jāntā hai to phir boltā kyoñ nahīñ hai
kitabon mein main ne paDha tha
ki lakhon baras qabl
ru-e-zamin par jo haiwan the
un ka KHun sard tha
wo bahut sust rau the
kitabon mein main ne paDha tha
ki lakhon baras qabl
mausam zamin ka achanak jo badla
to ThanDe lahu wale haiwan sare fana ho gae
aur un ki jagah kuchh nae jaanwar zindagi ki alamat bane
KHun mein jin ke garmi hai
un mein se kuchh bolte bhi samajhte bhi hain
par mujhe aisa mahsus hota hai
shayad ye baaten kitaben ghalat hain
jidhar dekhta hun udhar KHun ki naddiyan bah rahi hain
jidhar dekhta hun udhar zulm ki aandhiyan chal rahi hain
agar garm hai KHun-e-insan to phir zulm par khaulta kyon nahin hai
sitam ko sitam jaanta hai to phir bolta kyon nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.