KHayal-e-KHatir-e-ahbab
salām mere rafīqoñ ko ham-nashīnoñ ko
sapāT chehroñ ko be-mehr-o-lutf sīnoñ ko
koī habīb-e-masarrat na koī mūnis-e-ġham
na dil meñ josh na yārā-e-dard sīnoñ ko
koī faroġh na koī numū ki yāroñ ne
rakhā hai kar ke musattah tamām zīnoñ ko
milā na haif! ġhul-ārā.ī kā mizāj kabhī
mire ḳhulūs ke ''ḳhirman ke ḳhosha-chīnoñ ko''
falak ne zīnat-e-nisyāñ banā ke chhoḌ diyā
rusūm-e-lutf ko dil-jūī ke qarīnoñ ko
ġharaz kī tund havāoñ ne kar diyā banjar
vafā kī kisht ko īsār kī zamīnoñ ko
shikasta kar diyā badlī nazar ke tūfān ne
ḳhud-e'timādī ke Dhāle hue safīnoñ ko
nazar meñ kaj-nigahī lab pe maslahat-goī
ḳhutūt-e-ruḳh ne ubhārā hai dil ke kīnoñ ko
ḳhilāf-e-vaza.a ho bhūle se gar ye sher-e-'anīs'
sunā.e 'sāz' koī mere ham-nashīnoñ ko
''ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb chāhiye har dam!
'anīs' Thes na lag jaa.e ābgīnoñ ko!
salam mere rafiqon ko ham-nashinon ko
sapaT chehron ko be-mehr-o-lutf sinon ko
koi habib-e-masarrat na koi munis-e-gham
na dil mein josh na yara-e-dard sinon ko
koi farogh na koi numu ki yaron ne
rakha hai kar ke musattah tamam zinon ko
mila na haif! ghul-arai ka mizaj kabhi
mere KHulus ke KHirman ke KHosha-chinon ko
falak ne zinat-e-nisyan bana ke chhoD diya
rusum-e-lutf ko dil-jui ke qarinon ko
gharaz ki tund hawaon ne kar diya banjar
wafa ki kisht ko isar ki zaminon ko
shikasta kar diya badli nazar ke tufan ne
KHud-e'timadi ke Dhaale hue safinon ko
nazar mein kaj-nigahi lab pe maslahat-goi
KHutut-e-ruKH ne ubhaara hai dil ke kinon ko
KHilaf-e-waza ho bhule se gar ye sher-e-'anis'
sunae 'saz' koi mere ham-nashinon ko
KHayal-e-KHatir-e-ahbab chahiye har dam!
'anis' Thes na lag jae aabginon ko!
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.