KHayal-e-KHatir
maiñ charāġh-e-sar-e-manzil huuñ mujhe jalne de
merī ḳhātir tū na kar aish-e-bahārāñ se gurez
terī duniyā meñ shagūfe haiñ bahāroñ kā shabāb
mujh ko kāñToñ se guzarnā hai rah-e-hastī meñ
terī duniyā hai surūr-e-mai-o-mīnā kā husūl
mujh ko har gaam pe apnā hī lahū piinā hai
terī Thokar se chamak uThte haiñ kitne ḳhurshīd
merī rāhoñ meñ mire dāġh-e-jigar raushan haiñ
maiñ ne zulmat ko miTāne kī qasam khaa.ī hai
mujh ko āvāz na de mujh ko pareshān na kar
merī ḳhātir tū na kar aish-e-bahārāñ se gurez
maiñ tujhe bhuul gayā aisī koī baat nahīñ
haañ magar kashmakash-e-sūd-o-ziyāñ baaqī hai
ab bhī kāñTe haiñ mohabbat kī guzar-gāhoñ meñ
ab bhī har raah pe rahzan haiñ ba-shakl-e-rahbar
ab bhī ehsās miTā detī hai sikke kī khanak
ab bhī bāzār-e-vafā sard hai maazī kī tarah
ab bhī majbūr hai shā.ir kisī muflis kī tarah
mujh ko paiġhām-e-mohabbat na sunā jalne de
apne afsāne kā unvāñ na banā jalne de
maiñ ne zulmat ko miTāne kī qasam khaa.ī hai
mujh ko āvāz na de mujh ko pareshān na kar
merī ḳhātir tū na kar aish-e-bahārāñ se gurez
main charagh-e-sar-e-manzil hun mujhe jalne de
meri KHatir tu na kar aish-e-bahaaran se gurez
teri duniya mein shagufe hain bahaaron ka shabab
mujh ko kanTon se guzarna hai rah-e-hasti mein
teri duniya hai surur-e-mai-o-mina ka husul
mujh ko har gam pe apna hi lahu pina hai
teri Thokar se chamak uThte hain kitne KHurshid
meri rahon mein mere dagh-e-jigar raushan hain
main ne zulmat ko miTane ki qasam khai hai
mujh ko aawaz na de mujh ko pareshan na kar
meri KHatir tu na kar aish-e-bahaaran se gurez
main tujhe bhul gaya aisi koi baat nahin
han magar kashmakash-e-sud-o-ziyan baqi hai
ab bhi kanTe hain mohabbat ki guzar-gahon mein
ab bhi har rah pe rahzan hain ba-shakl-e-rahbar
ab bhi ehsas miTa deti hai sikke ki khanak
ab bhi bazar-e-wafa sard hai mazi ki tarah
ab bhi majbur hai shair kisi muflis ki tarah
mujh ko paigham-e-mohabbat na suna jalne de
apne afsane ka unwan na bana jalne de
main ne zulmat ko miTane ki qasam khai hai
mujh ko aawaz na de mujh ko pareshan na kar
meri KHatir tu na kar aish-e-bahaaran se gurez
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.