KHayal-e-wasl
ḳhayāl-e-vasl meñ
maiñ ne
jo saare lafz likkhe haiñ
sabhī vīrān shāmoñ meñ
unhī gumnām rāhoñ meñ
vo sham.a ban ke chamke haiñ
ki jaise tum se milte haiñ
visāl-e-yār kī mānind
kaḌaktī dhuup meñ bhī jab
tanhā saaya hotā hai
ye dil phir se machaltā hai
har ik lafz bol uThtā hai
kisī shahr-e-tamannā meñ
mohabbat kī mash.al jaise
machaltī aur bilaktī hai
har ik lafz bol uThtā hai
ḳhayāl-e-vasl meñ pinhāñ
KHayal-e-wasl mein
main ne
jo sare lafz likkhe hain
sabhi viran shamon mein
unhi gumnam rahon mein
wo shama ban ke chamke hain
ki jaise tum se milte hain
visal-e-yar ki manind
kaDakti dhup mein bhi jab
tanha saya hota hai
ye dil phir se machalta hai
har ek lafz bol uThta hai
kisi shahr-e-tamanna mein
mohabbat ki mashal jaise
machalti aur bilakti hai
har ek lafz bol uThta hai
KHayal-e-wasl mein pinhan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.