Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal ki banjar zamin

Roohi Hayat

KHayal ki banjar zamin

Roohi Hayat

MORE BYRoohi Hayat

    lafz

    kab se mere zehn ke

    sūrāḳh se jhāñk rahā hai

    jahāñ zulmat qarnoñ se

    raaj kartī hai

    aur ḳhayāl ke jaale laTke paḌe haiñ

    auhām chamgādaḌeñ dīvāroñ se chipkī huī haiñ

    soch ke paanī par kaa.ī jamī hai

    mere zehn ke darīchoñ meñ

    koī aisī darz bhī nahīñ

    jahāñ se havā dāḳhil ho kar

    māyūsī habs ko chaaT le

    aur koī rauzan bhī nahīñ

    jahāñ se raushnī ilhām ban kar utre

    lekin lafz ke jugnū ne

    apnī raushnī se is meñ

    sūrāḳh kar Daalā hai

    vo dekho

    lafz dekh rahā hai

    lekin nahīñ

    vo to chukā hai

    aur

    sadiyoñ se muqaffal ḳhāmoshī

    karvaT le kar phir so chukī hai

    lafz

    kab se mere zehn ke

    suraKH se jhank raha hai

    jahan zulmat qarnon se

    raj karti hai

    aur KHayal ke jale laTke paDe hain

    auham ki chamgadaDen diwaron se chipki hui hain

    soch ke pani par kai jami hai

    mere zehn ke darichon mein

    koi aisi darz bhi nahin

    jahan se hawa daKHil ho kar

    mayusi ki habs ko chaT le

    aur koi rauzan bhi nahin

    jahan se raushni ilham ban kar utre

    lekin lafz ke jugnu ne

    apni raushni se is mein

    suraKH kar Dala hai

    wo dekho

    lafz dekh raha hai

    lekin nahin

    wo to ja chuka hai

    aur

    sadiyon se muqaffal KHamoshi

    karwaT le kar phir so chuki hai

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now