KHayal rakhna
maiñ jā chukūñ to ḳhayāl rakhnā
rafīq mere, zamīn kī in darāz palkoñ se ashk ban kar
juḌe hue haiñ
ḳhayāl rakhnā ki saare mausam bas ek dukh ke payāmbar haiñ
jo merā dukh hai
ye merā dukh hai
ki maiñ ne is dukh kī parvarish haiñ
lahū kā luqma, badan kā īñdhan kiyā farāham
ye dukh mirā hai, mirā rahegā
ki āsmānoñ kī samt mere sivā koī sub.h kā sitārā ravāñ nahīñ hai
main ja chukun to KHayal rakhna
rafiq mere, zamin ki in daraaz palkon se ashk ban kar
juDe hue hain
KHayal rakhna ki sare mausam bas ek dukh ke payambar hain
jo mera dukh hai
ye mera dukh hai
ki main ne is dukh ki parwarish hain
lahu ka luqma, badan ka indhan kiya faraham
ye dukh mera hai, mera rahega
ki aasmanon ki samt mere siwa koi subh ka sitara rawan nahin hai
- Book : Ibaraten (Pg. 171)
- Author : Najeeb Ahmad
- Publication : Jung Publishers (1991)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.