KHayalon ke sweater
ghaTā.eñ aaj baḌhtī jā rahī haiñ
dikhāne parbatoñ ko ro.ab apnā
havāoñ ko bhī saath apne liyā hai
khaḌe haiñ taan kar siine ko parvat
ek dūsre kā haath thāme
ki ab gherāo puurā ho gayā hai
garajne lag ga.ī hai kaalī badlī
sunahre parvatoñ ke rañg phīke paḌh ga.e haiñ
maTmailī huī jaatī hai ujlī ujlī punDir
vahīñ kuchh duur palī bastiyoñ meñ
laal piile niile ujāle ho ga.e haiñ
ki jaise kaalī kaalī chunniyoñ par
koī sitāroñ kī kaḌhā.ī kar gayā ho
darīche se maiñ baiThā dekhtā huuñ
ki duniyā shānt hotī jā rahī hai
ki jaise budh kā vardān ho ye
aur maiñ apne zehn meñ ḳhayāloñ ke sweater bun rahā huuñ
ghaTaen aaj baDhti ja rahi hain
dikhane parbaton ko roab apna
hawaon ko bhi sath apne liya hai
khaDe hain tan kar sine ko parwat
ek dusre ka hath thame
ki ab gherao pura ho gaya hai
garajne lag gai hai kali badli
sunahre parwaton ke rang phike paDh gae hain
maTmaili hui jati hai ujli ujli punDir
wahin kuchh dur pali bastiyon mein
lal pile nile ujale ho gae hain
ki jaise kali kali chunniyon par
koi sitaron ki kaDhai kar gaya ho
dariche se main baiTha dekhta hun
ki duniya shant hoti ja rahi hai
ki jaise budh ka wardan ho ye
aur main apne zehn mein KHayalon ke sweater bun raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.