KHazane ka sanp
merī maañ ne mujhe batāyā hai
agle vaqtoñ ke sāhibān-e-duval
jo ḳhudāvand kī mashiyyat se
umr bhar lā-valad rahā karte
ye ajab kār-e-ḳhair farmāte
apnī daulat ko ek bartan meñ
band kar ke kahīñ dabā dete
us pe aaTe yā chiknī miTTī kā
saañp zāmin banā ke rakh dete
taaki ā.inda koī shaḳhs agar
un kī daulat kī samt aañkh uThā.e
ye ḳhazāne kā saañp lahrā kar
us kī aulād bheñT meñ chāhe
log aulād bheñT dete the
aur ye maal khod lete the
merī maañ ne mujhe batāyā hai
mere nā-puḳhta ghar ke āñgan meñ
aisā hī maal dafn thā shāyad
aur ye maal yūñhī dafn rahā
yā kisī aur ghar meñ jā pahuñchā
merī maañ ne mujhe na bheñT diyā
aur vo maal haath se khoyā
merī maañ bhī ajiib aurat hai
apnī maañ se ye vāqi.a sun kar
pahle mujh ko yaqīñ na aatā thā
maiñ ne afsāna us ko samjhā thā
par ye afsāna ik haqīqat thā
par ye afsāna ik haqīqat hai
maiñ ne shādāb khetiyāñ dekhīñ
maiñ ne mill dekhe bañk bhī dekhe
maiñ ne dekhā ki māl-o-daulat ke
har ḳhazāne pe har jagah har pal
ik na ik saañp baiThā rahtā hai
meri man ne mujhe bataya hai
agle waqton ke sahiban-e-duwal
jo KHudawand ki mashiyyat se
umr bhar la-walad raha karte
ye ajab kar-e-KHair farmate
apni daulat ko ek bartan mein
band kar ke kahin daba dete
us pe aaTe ya chikni miTTi ka
sanp zamin bana ke rakh dete
taki aainda koi shaKHs agar
un ki daulat ki samt aankh uThae
ye KHazane ka sanp lahra kar
us ki aulad bhenT mein chahe
log aulad bhenT dete the
aur ye mal khod lete the
meri man ne mujhe bataya hai
mere na-puKHta ghar ke aangan mein
aisa hi mal dafn tha shayad
aur ye mal yunhi dafn raha
ya kisi aur ghar mein ja pahuncha
meri man ne mujhe na bhenT diya
aur wo mal hath se khoya
meri man bhi ajib aurat hai
apni man se ye waqia sun kar
pahle mujh ko yaqin na aata tha
main ne afsana us ko samjha tha
par ye afsana ek haqiqat tha
par ye afsana ek haqiqat hai
main ne shadab khetiyan dekhin
main ne mill dekhe bank bhi dekhe
main ne dekha ki mal-o-daulat ke
har KHazane pe har jagah har pal
ek na ek sanp baiTha rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.