khel ka git
aao gherā ek banā leñ
apne apne haath milā leñ
siina taan khaḌe ho jaa.eñ
uupar ko gardan bhī uThā.eñ
eḌī se eḌī ko milā kar
pair ke panjoñ ko phailā kar
apne apne paañv uThā.eñ
chalte jaa.eñ chakkar khā.eñ
pahle puurā chakkar khā leñ
chakkar khā kar dil bahlā leñ
phir ham sab ruk jaa.eñ dam bhar
aage ko baḌh jaa.eñ qadam bhar
aage pīchhe jaa.eñ aa.eñ
haath hilā.eñ paañv hilā.eñ
phir baazū apne phailā deñ
khīñcheñ pīchhe ko jhaTkā deñ
hāthoñ ko uupar le jaa.eñ
uupar se phir nīche laa.eñ
baiTh ke uTTheñ uTh ke baiTheñ
sar ūñchā ho sāmne dekheñ
jhuk kar baiTheñ aur DañD pelaiñ
ḳhud ho kar ye saḳhtī jheleñ
mil kar kheleñ saare laḌke
koī na jaa.e yahāñ se laḌ ke
'nayyar' bhī jo kabhī aa jaa.e
dekh ke ham ko rāhat paa.e
aao ghera ek bana len
apne apne hath mila len
sina tan khaDe ho jaen
upar ko gardan bhi uThaen
eDi se eDi ko mila kar
pair ke panjon ko phaila kar
apne apne panw uThaen
chalte jaen chakkar khaen
pahle pura chakkar kha len
chakkar kha kar dil bahla len
phir hum sab ruk jaen dam bhar
aage ko baDh jaen qadam bhar
aage pichhe jaen aaen
hath hilaen panw hilaen
phir bazu apne phaila den
khinchen pichhe ko jhaTka den
hathon ko upar le jaen
upar se phir niche laen
baiTh ke uTThen uTh ke baiThen
sar uncha ho samne dekhen
jhuk kar baiThen aur DanD pelain
KHud ho kar ye saKHti jhelen
mil kar khelen sare laDke
koi na jae yahan se laD ke
'nayyar' bhi jo kabhi aa jae
dekh ke hum ko rahat pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.