khel
shaam ko daftar ke ba.ad
vāpsī par ghar kī samt
maiñ ne dekhā mere bachche
khel meñ masrūf haiñ
itne sanjīda ki jaise khel hī ho zindagī
khel hī meñ saare ġham hoñ khel hī saarī ḳhushī
ai ḳhudā!
mere fan meñ de mujhe
tū mere bachchoñ kī tarah
khel kī sanjīdgī
sham ko daftar ke baad
wapsi par ghar ki samt
main ne dekha mere bachche
khel mein masruf hain
itne sanjida ki jaise khel hi ho zindagi
khel hi mein sare gham hon khel hi sari KHushi
ai KHuda!
mere fan mein de mujhe
tu mere bachchon ki tarah
khel ki sanjidgi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.