khel-tamasha
Dam Dam Dam Dam Damrū baaje
bachche paas galī meñ bhāge
khel dikhā.e bhālū vaalā
rang jamā.e bhālū vaalā
chham-chham bhālū ghuum rahā hai
bachcha bachcha jhuum rahā hai
kartab ḳhuub dikhā.e bhālū
sab kā dil bahlā.e bhālū
ujlā ujlā suiT pahan kar
kaale kaale boot pahan kar
kursī par ārām kare hai
urdu kā aḳhbār paḌhe hai
ġhaur se filmī gaanā suntā
giit ġhazal dīvāna suntā
jab bhālū se kahe madārī
ghar vaalī hai kahāñ tumhārī
bhālū kursī se uTh jaa.e
apnā kuchh sāmān uThā.e
ab bhālū sasurāl chalā hai
saj-dhaj kar bhopal chalā hai
biivī maike ruuTh ga.ī hai
us kī qismat phuuT ga.ī hai
jā kar use manā.e bhālū
samjhā kar ghar laa.e bhālū
kuchh pal phir ārām se guzre
hañste gaate khāte piite
begam thī par ḳhuub laḌākū
ġhusse meñ hotī be-qābū
bātoñ bātoñ meñ khaTpaT ho
shauhar biivī kī jhanjhaT ho
biivī chīḳhe aur chillā.e
bhālū us par ro.ab jamā.e
hañs hañs ke behāl hue sab
biivī us kī bhaag ga.ī jab
bhālū gum-sum baiTh gayā hai
khel-tamāshā ḳhatm huā hai
Dam Dam Dam Dam Damru baje
bachche pas gali mein bhage
khel dikhae bhaalu wala
rang jamae bhaalu wala
chham-chham bhaalu ghum raha hai
bachcha bachcha jhum raha hai
kartab KHub dikhae bhaalu
sab ka dil bahlae bhaalu
ujla ujla suiT pahan kar
kale kale boot pahan kar
kursi par aaram kare hai
urdu ka aKHbar paDhe hai
ghaur se filmi gana sunta
git ghazal diwana sunta
jab bhaalu se kahe madari
ghar wali hai kahan tumhaari
bhaalu kursi se uTh jae
apna kuchh saman uThae
ab bhaalu sasural chala hai
saj-dhaj kar bhopal chala hai
biwi maike ruTh gai hai
us ki qismat phuT gai hai
ja kar use manae bhaalu
samjha kar ghar lae bhaalu
kuchh pal phir aaram se guzre
hanste gate khate pite
begam thi par KHub laDaku
ghusse mein hoti be-qabu
baaton baaton mein khaTpaT ho
shauhar biwi ki jhanjhaT ho
biwi chiKHe aur chillae
bhaalu us par roab jamae
hans hans ke behaal hue sab
biwi us ki bhag gai jab
bhaalu gum-sum baiTh gaya hai
khel-tamasha KHatm hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.