kheti
vaqt kī khetī haiñ ham
vaqt botā hai ugātā pāltā hai
aur baḌhne ke mavāqe bhī hameñ detā hai vaqt
sabz ko zarrīñ batāne kī ijāzat marhamat kartā hai aur
nāchne detā hai bād-e-shoḳh kī maujoñ ke saath
jhūmne detā hai sūraj kī kiran kī ham-damī meñ
chāñdnī pī kar hameñ ba-dast paatā hai to ḳhush hotā hai vaqt
phūlne phalne kī tadbīreñ batātā hai hameñ
haañ magar anjām kaar
kaaT lenā hai hameñ
ham bil-āḳhir us ke naġhme
ham bil-āḳhir us kī fasl
waqt ki kheti hain hum
waqt bota hai ugata palta hai
aur baDhne ke mawaqe bhi hamein deta hai waqt
sabz ko zarrin batane ki ijazat marhamat karta hai aur
nachne deta hai baad-e-shoKH ki maujon ke sath
jhumne deta hai suraj ki kiran ki ham-dami mein
chandni pi kar hamein ba-dast pata hai to KHush hota hai waqt
phulne phalne ki tadbiren batata hai hamein
han magar anjam kar
kaT lena hai hamein
hum bil-aKHir us ke naghme
hum bil-aKHir us ki fasl
- Book : shab-khoon-shumara-number-16 (Pg. 22)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.