khiDki
ye khiḌkī
merī dost merī rafīq
merī rāzdār
mere dil kī sab dhaḌkanoñ kī amiiñ
masarrat ke lamhāt
aur be-karāñ ġham ke saa.e
sab utre merī zindagī meñ
merī sard tanhā.iyoñ meñ
usī ke sahāre
yahīñ maiñ ne sar rakh kar aksar bune
an-ginat ḳhvāb
adhūre
mukammal
hasīn
murattab kiye ḳhāke mustaqbil-e-nā-rasā ke
yahīñ se kabhī muḌ ke dekhā
ki maazī añdheroñ meñ lipTā huā hai
magar chand bārīk kirneñ bhī
dāman meñ añgḌā.iyāñ le rahī haiñ
ghaTā-Top rātoñ meñ barsāt kī
uḌeñ jaise āvāra jugnū
yahīñ maiñ ne jaanā
ki utnī hī pyārī haiñ maazī kī tārīkiyāñ
jitnī pyārī hai mustaqbil-e-nā-rasā kī chamak
magar haal
us kā kahāñ hai vajūd
zamāna hai maazī
zamāna hai mustaqbil
aur haal ek vāhima hai
kisī lamhe ko maiñ ne jab
chhūnā chāhā
phisal kar vo ḳhud ban gayā ek maazī
kisī ne kabhī haal ko apne dekhā nahīñ
kisī ne kabhī haal ko apne parkhā nahīñ
aur mustaqbil itnā hai duur
ki us tak kabhī haath pahuñchā nahīñ
tabhī to mujhe
aap ko
saarī duniyā ko
miltī hai maazī meñ apne panāh
yahāñ se bahut duur
mustaqbil-e-nā-rasā kā dhuñdalkā jahāñ
ḳhema-zan hai
sajā.ī hai maazī ne bhī dekhiye
vahīñ jugnuoñ kī barāt
kabhī mujh se dil pūchhtā hai
kabhī dil se maiñ pūchhtī huuñ
ye khiḌkī na hotī
to kyā hotā
maiñ kahāñ hotī
ye khiDki
meri dost meri rafiq
meri raazdar
mere dil ki sab dhaDkanon ki amin
masarrat ke lamhat
aur be-karan gham ke sae
sab utre meri zindagi mein
meri sard tanhaiyon mein
usi ke sahaare
yahin main ne sar rakh kar aksar bune
an-ginat KHwab
adhure
mukammal
hasin
murattab kiye KHake mustaqbil-e-na-rasa ke
yahin se kabhi muD ke dekha
ki mazi andheron mein lipTa hua hai
magar chand barik kirnen bhi
daman mein angDaiyan le rahi hain
ghaTa-Top raaton mein barsat ki
uDen jaise aawara jugnu
yahin main ne jaana
ki utni hi pyari hain mazi ki tarikiyan
jitni pyari hai mustaqbil-e-na-rasa ki chamak
magar haal
us ka kahan hai wajud
zamana hai mazi
zamana hai mustaqbil
aur haal ek wahima hai
kisi lamhe ko main ne jab
chhuna chaha
phisal kar wo KHud ban gaya ek mazi
kisi ne kabhi haal ko apne dekha nahin
kisi ne kabhi haal ko apne parkha nahin
aur mustaqbil itna hai dur
ki us tak kabhi hath pahuncha nahin
tabhi to mujhe
aap ko
sari duniya ko
milti hai mazi mein apne panah
yahan se bahut dur
mustaqbil-e-na-rasa ka dhundalka jahan
KHema-zan hai
sajai hai mazi ne bhi dekhiye
wahin jugnuon ki baraat
kabhi mujh se dil puchhta hai
kabhi dil se main puchhti hun
ye khiDki na hoti
to kya hota
main kahan hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.