KHidmat-e-adab
jab tak adab-barā-e-adab kā rahā ḳhayāl
adbār-o-muflisī se rahe ham shikasta-hāl
saa.e kī tarah saath nahūsat lagī rahī
ik rog ban ke jaan se usrat lagī rahī
go shā.erī kā rang nikhartā chalā gayā
shīrāza-e-ma.āsh bikhartā chalā gayā
lekin ḳhudā bhalā kare ik mehrbān kā
jin ko adab-barā-e-shikam kā hai tajraba
mausūf ne batā.ī hameñ vo pate kī baat
ab din hai roz-e-īd to shab hai shab-e-barāt
all india mushā.era majlis ke naam se
kholā hai ik idāra-e-nau dhūm-dhām se
karte haiñ shā.erī ke evaz ab mushā.era
is rozgār se hai hameñ ḳhuub fā.eda
har tiin chaar maah ke vaqfe pe be-ḳhalal
apne programme pe karte haiñ ham amal
ya.anī mushā.ere kā chalāte haiñ kārobār
chhapvā ke roz-nāmoñ meñ jhūTā ye ishtihār
'josh'-o-'firāq'-o-'sāhir' o 'parvez' shāhidī
'faiz'-o-'ḳhalīl'-o-'jazbī' o 'maḳhdūm'-o-'ja.afarī'
kursī-o-arsh-o-lauh-o-qalam sab hī ā.eñge
taaza kalām apnī zabāñ se sunā.eñge
is ishtihār meñ vo kashish hai ki ahl-e-zauq
lete haiñ dāḳhle kā ticket dauḌ kar ba-shauq
circus meñ jis tarah se ho ḳhilqat kā izhdihām
yūñhī mushā.ere meñ pahuñchte haiñ ḳhās-o-ām
sab log baiTh jaate haiñ farsh-e-zamīñ pe jab
mic pe jā ke karte haiñ elaan ham ye tab
afsos hai ki aa na sake 'josh' aur 'firāq'
ye moscow ravāna hue vo ga.e iraq
'jazbī' ko iḳhtilāj hai 'parvez' haiñ aliil
gaaḌī zarā sī chuuk se miss kar ga.e 'ḳhalīl'
bhejī hai 'faiz'-o-'sāhir'-o-'maḳhdūm' ne ḳhabar
seat un ko mil sakī na havā.ī jahāz par
go ye ḳhabar diloñ ko guzartī hai nāgavār
honā hai jalsa-gāh meñ thoḌā sā intishār
le kar magar zehānat-e-fitrī se kaam ham
dam-bhar meñ sāma.īn ko karte haiñ raam ham
Dais pe tuk-faroshoñ kā rahtā hai ik hujūm
filmī dhunoñ meñ gaane kī jin ke baḌī hai dhuum
jo ḳhud ticket ḳharīd ke aate haiñ bazm meñ
ham un se apnā kaam chalāte haiñ bazm meñ
le le ke gaTkarī jo sunāte haiñ vo kalām
uḌte haiñ vaah vaah ke na.aroñ se saqf-o-bām
bazm-e-nashāt bantā hai saarā mushā.era
hotā hai kāmyāb hamārā mushā.era
ḳhush-ḳhush gharoñ ko jaate haiñ huzzār ik taraf
noToñ kā ham lagāte haiñ ambār ik taraf
ye ḳhidmat-e-adab kā tarīqa hai lā-javāb
pesha ye vo hai jis meñ munāfa hai be-hisāb
jab tak adab-bara-e-adab ka raha KHayal
adbar-o-muflisi se rahe hum shikasta-haal
sae ki tarah sath nahusat lagi rahi
ek rog ban ke jaan se usrat lagi rahi
go shaeri ka rang nikharta chala gaya
shiraaza-e-maash bikharta chala gaya
lekin KHuda bhala kare ek mehrban ka
jin ko adab-bara-e-shikam ka hai tajraba
mausuf ne batai hamein wo pate ki baat
ab din hai roz-e-id to shab hai shab-e-baraat
all india mushaera majlis ke nam se
khola hai ek idara-e-nau dhum-dham se
karte hain shaeri ke ewaz ab mushaera
is rozgar se hai hamein KHub faeda
har tin chaar mah ke waqfe pe be-KHalal
apne programme pe karte hain hum amal
yani mushaere ka chalate hain karobar
chhapwa ke roz-namon mein jhuTa ye ishtihaar
'josh'-o-'firaq'-o-'sahir' o 'parwez' shahidi
'faiz'-o-'KHalil'-o-'jazbi' o 'maKHdum'-o-'jafari'
kursi-o-arsh-o-lauh-o-qalam sab hi aaenge
taza kalam apni zaban se sunaenge
is ishtihaar mein wo kashish hai ki ahl-e-zauq
lete hain daKHle ka ticket dauD kar ba-shauq
circus mein jis tarah se ho KHilqat ka izhdiham
yunhi mushaere mein pahunchte hain KHas-o-am
sab log baiTh jate hain farsh-e-zamin pe jab
mic pe ja ke karte hain elan hum ye tab
afsos hai ki aa na sake 'josh' aur 'firaq'
ye moscow rawana hue wo gae iraq
'jazbi' ko iKHtilaj hai 'parwez' hain alil
gaDi zara si chuk se miss kar gae 'KHalil'
bheji hai 'faiz'-o-'sahir'-o-'maKHdum' ne KHabar
seat un ko mil saki na hawai jahaz par
go ye KHabar dilon ko guzarti hai nagawar
hona hai jalsa-gah mein thoDa sa intishaar
le kar magar zehanat-e-fitri se kaam hum
dam-bhar mein samain ko karte hain ram hum
Dais pe tuk-faroshon ka rahta hai ek hujum
filmi dhunon mein gane ki jin ke baDi hai dhum
jo KHud ticket KHarid ke aate hain bazm mein
hum un se apna kaam chalate hain bazm mein
le le ke gaTkari jo sunate hain wo kalam
uDte hain wah wah ke naron se saqf-o-baam
bazm-e-nashat banta hai sara mushaera
hota hai kaamyab hamara mushaera
KHush-KHush gharon ko jate hain huzzar ek taraf
noTon ka hum lagate hain ambar ek taraf
ye KHidmat-e-adab ka tariqa hai la-jawab
pesha ye wo hai jis mein munafa hai be-hisab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.