KHidmat-e-KHalq
kaash maiñ ek peḌ ban jaatā
peḌ ban kar jahāñ ke kaam aatā
raat din ik jagah khaḌā rahtā
garmī sardī kī shiddateñ sahtā
ḳhuub bārish meñ bhiig jaatā magar
shikva hargiz na laatā maiñ lab par
dhuup meñ log mere paas aate
mere saa.e meñ vo sukūñ paate
chhāñv meñ aa ke baiTh jaate parind
phuul phal pattiyoñ se sab merī
puurī karte zarūrateñ apnī
maiñ kisī ghar meñ īñdhan hī bantā
yā imārat ke kaam meñ aatā
al-ġharaz jis tarah bhī ban paḌtā
ḳhidmat-e-ḳhalq meñ lagā rahtā
kash main ek peD ban jata
peD ban kar jahan ke kaam aata
raat din ek jagah khaDa rahta
garmi sardi ki shiddaten sahta
KHub barish mein bhig jata magar
shikwa hargiz na lata main lab par
dhup mein log mere pas aate
mere sae mein wo sukun pate
chhanw mein aa ke baiTh jate parind
phul phal pattiyon se sab meri
puri karte zaruraten apni
main kisi ghar mein indhan hi banta
ya imarat ke kaam mein aata
al-gharaz jis tarah bhi ban paDta
KHidmat-e-KHalq mein laga rahta
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 132)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.