khilanDDa
imtihāñ kī raat aur maiñ jhiḌkiyāñ suntā rahūñ
har ināyat har karam ko muskurā kar maiñ sahūñ
huuk sī dil meñ uThe aur kuchh na maiñ phir bhī kahūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
ban ke raTTū paas kar jā.ūñ mirī fitrat nahīñ
imtihāñ meñ dostoñ se luuñ madad aadat nahīñ
mehrbāñ hoñ master aisī mirī qismat nahīñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
ye rupahlī raat aur bāġhoñ meñ aamoñ kī bahār
kyā kitāboñ meñ lage dil aur kyā aa.e qarār
haa.e lekin is ghaḌī koī nahīñ rāh-e-farār
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
dil ye kahtā hai kitābeñ chhoḌ aur DañDā uThā
dostoñ ke saath jā kar baaġh meñ amrūd khā
kuchh agar maalī kahe to qahqahe mil kar lagā
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
le ke basta haath meñ schōl jaanā hai ġhazab
master sāhab se maulā-baḳhsh khānā hai ġhazab
kaale taḳhte par savāloñ kā banānā hai ġhazab
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
jī meñ aatā hai ki ab schōl jaanā chhoḌ duuñ
maiñ hī baḌh kar dosto ab vaqt kā ruḳh moḌ duuñ
ye nahīñ mumkin to phir maiñ apnā hī sar toḌ duuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
imtihan ki raat aur main jhiDkiyan sunta rahun
har inayat har karam ko muskura kar main sahun
huk si dil mein uThe aur kuchh na main phir bhi kahun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ban ke raTTu pas kar jaun meri fitrat nahin
imtihan mein doston se lun madad aadat nahin
mehrban hon master aisi meri qismat nahin
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ye rupahli raat aur baghon mein aamon ki bahaar
kya kitabon mein lage dil aur kya aae qarar
hae lekin is ghaDi koi nahin rah-e-farar
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
dil ye kahta hai kitaben chhoD aur DanDa uTha
doston ke sath ja kar bagh mein amrud kha
kuchh agar mali kahe to qahqahe mil kar laga
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
le ke basta hath mein school jaana hai ghazab
master sahab se maula-baKHsh khana hai ghazab
kale taKHte par sawalon ka banana hai ghazab
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ji mein aata hai ki ab school jaana chhoD dun
main hi baDh kar dosto ab waqt ka ruKH moD dun
ye nahin mumkin to phir main apna hi sar toD dun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.