khilauna
mere hoñToñ ke mahakte hue naġhmoñ pe na jā
mere siine meñ ka.ī tarah ke ġham palte haiñ
mere chehre pe dikhāve kā tabassum hai magar
merī āñkhoñ meñ udāsī ke diye jalte haiñ
jhāñk kar dekh mirī ruuh kī pahnā.ī meñ
kitne ġham kitne fasāne haiñ barafganda naqāb
kitnī nāpāk nigāhoñ ne luTeroñ kī tarah
mere ehsās se chhīnā hai taqaddus kā hijāb
kitne insān mohabbat kā labāda oḌhe
mere aariz ke subū pī ke mujhe chhoḌ ga.e
kitne hāthoñ ne nichoḌā hai mirī zulfoñ ko
kitne bhañvre mirā ras chuus ke muñh moḌ ga.e
ik nayā ḳhauf buḌhāpe kā tasavvur ban kar
khaTkhaTātā hai mire zehn ke darvāzoñ ko
ghaat meñ baiThī huī vaqt kī jādū-garnī
dho hī Dālegī mirī ziist ke un ġhāzoñ ko
lekin in talḳh haqā.eq se tujhe kyā lenā
tū bhī aayā hai kisī dukh kā mudāvā karne
tū bhī aayā hai khanakte hue sikke le kar
tū bhī aayā hai mire jism kā saudā karne
mere honTon ke mahakte hue naghmon pe na ja
mere sine mein kai tarah ke gham palte hain
mere chehre pe dikhawe ka tabassum hai magar
meri aankhon mein udasi ke diye jalte hain
jhank kar dekh meri ruh ki pahnai mein
kitne gham kitne fasane hain barafganda naqab
kitni napak nigahon ne luTeron ki tarah
mere ehsas se chhina hai taqaddus ka hijab
kitne insan mohabbat ka labaada oDhe
mere aariz ke subu pi ke mujhe chhoD gae
kitne hathon ne nichoDa hai meri zulfon ko
kitne bhanwre mera ras chus ke munh moD gae
ek naya KHauf buDhape ka tasawwur ban kar
khaTkhaTata hai mere zehn ke darwazon ko
ghat mein baiThi hui waqt ki jadu-garni
dho hi Dalegi meri zist ke un ghazon ko
lekin in talKH haqaeq se tujhe kya lena
tu bhi aaya hai kisi dukh ka mudawa karne
tu bhi aaya hai khanakte hue sikke le kar
tu bhi aaya hai mere jism ka sauda karne
- Book : Sangam (Pg. 40)
- Author : Naresh Kumar Shad
- Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.