khilaune
chune maiñ ne maujoñ se motī javāhir se jyotī bahāroñ se raag
liye maiñ ne ḳhoshoñ se ḳhushbū ke toshe
ulaT kar nigāhoñ se rāhoñ ke goshe
baḌhā maiñ chalā maiñ liye saath sāvan kī purvā chanāroñ kī aag bahāroñ ke raag
na kaam aa.e maujoñ ke motī javāhir kī jyotī na ḳhushbū na raag
muqaddar meñ paiham nujūm-e-shab-e-ġham
masarrat kā mātam musībat kā aalam
vo saare ḳhazīne ḳhizāoñ ne chhīne ki siine meñ hai ab chanāroñ kī aag na ḳhushbū na raag
milīñ ġham kī maujeñ masā.ib kī faujeñ rag-o-pai ke andar samundar ke raag
haqā.eq ke zindāñ meñ hairāñ pareshāñ
tasavvur taḳhayyul tanaffus se nālāñ
mujhī ko lagāne bujhāne ko paa.ī jahāñ ne suhāne chanāroñ kī aag samundar ke raag
magar tere dāman meñ phūloñ ke maskan meñ suntā huuñ aksar bahāroñ ke raag
tire narm ḳhoshe mohabbat ke toshe
mire bhole-bhāle hasīñ dil ke goshe
mire ranj-o-ġham mere fikr-o-alam ko dikhāte haiñ aakar chanāroñ kī aag sitāroñ kī aag
chune main ne maujon se moti jawahir se jyoti bahaaron se rag
liye main ne KHoshon se KHushbu ke toshe
ulaT kar nigahon se rahon ke goshe
baDha main chala main liye sath sawan ki purwa chanaron ki aag bahaaron ke rag
na kaam aae maujon ke moti jawahir ki jyoti na KHushbu na rag
muqaddar mein paiham nujum-e-shab-e-gham
masarrat ka matam musibat ka aalam
wo sare KHazine KHizaon ne chhine ki sine mein hai ab chanaron ki aag na KHushbu na rag
milin gham ki maujen masaib ki faujen rag-o-pai ke andar samundar ke rag
haqaeq ke zindan mein hairan pareshan
tasawwur taKHayyul tanaffus se nalan
mujhi ko lagane bujhane ko pai jahan ne suhane chanaron ki aag samundar ke rag
magar tere daman mein phulon ke maskan mein sunta hun aksar bahaaron ke rag
tere narm KHoshe mohabbat ke toshe
mere bhole-bhaale hasin dil ke goshe
mere ranj-o-gham mere fikr-o-alam ko dikhate hain aakar chanaron ki aag sitaron ki aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.