KHiraj-e-‘aqidat
tirā sog ai dost kaise manā.ūñ
karūñ pesh kyā maiñ ḳhirāj-e-‘aqīdat
maiñ us ke liye kaise aañsū bahā.ūñ
sabhī ko hañsāne kī thī jis kī hasrat
bahut ham ko pyārā thā tū dost lekin
ḳhudā ko thī tujh se mohabbat ziyāda
yahī soch kar ab kiyā sabr ham ne
hai jannat meñ terī zarūrat ziyāda
bharā thā halāhal se go kanTh terā
laboñ se barastī thī amrit kī dhārā
rahā poñchhtā sab ke aañsū tū lekin
na apne ġhamoñ kā kiyā tū ne chāra
ḳhushī jo milī baañT dī dostoñ meñ
ġhamoñ ko kaleje se rakkhā lagā ke
zamāne kī ḳhātir rahā muskurātā
tū har dard siine meñ apne chhupā ke
sadāqat ke raste pe chaltā rahā tū
ġharīboñ kī tū ne himāyat sadā kī
usūloñ kī ḳhātir laḌā tū musalsal
tire narm dil meñ thī himmat balā kī
tirī yaad aa.egī jab dost mere
to nam hoñgī āñkheñ har ik ham-navā kī
manā.eñgī barsoñ talak dost mātam
tirī yaad meñ vādiyāñ narmadā kī
na bhūlūñgā ehsān tere maiñ lekin
rahegī sadā tujh se dohrī shikāyat
baḌī der kī mujh se milne meñ tū ne
baḌī jald phir tū huā dost ruḳhsat
tirā sog ai dost kaise manā.ūñ
karūñ pesh kyā maiñ ḳhirāj-e-‘aqīdat
tera sog ai dost kaise manaun
karun pesh kya main KHiraj-e-‘aqidat
main us ke liye kaise aansu bahaun
sabhi ko hansane ki thi jis ki hasrat
bahut hum ko pyara tha tu dost lekin
KHuda ko thi tujh se mohabbat ziyaada
yahi soch kar ab kiya sabr hum ne
hai jannat mein teri zarurat ziyaada
bhara tha halahal se go kanTh tera
labon se barasti thi amrit ki dhaara
raha ponchhta sab ke aansu tu lekin
na apne ghamon ka kiya tu ne chaara
KHushi jo mili banT di doston mein
ghamon ko kaleje se rakkha laga ke
zamane ki KHatir raha muskuraata
tu har dard sine mein apne chhupa ke
sadaqat ke raste pe chalta raha tu
gharibon ki tu ne himayat sada ki
usulon ki KHatir laDa tu musalsal
tere narm dil mein thi himmat bala ki
teri yaad aaegi jab dost mere
to nam hongi aankhen har ek ham-nawa ki
manaengi barson talak dost matam
teri yaad mein wadiyan narmada ki
na bhulunga ehsan tere main lekin
rahegi sada tujh se dohri shikayat
baDi der ki mujh se milne mein tu ne
baDi jald phir tu hua dost ruKHsat
tera sog ai dost kaise manaun
karun pesh kya main KHiraj-e-‘aqidat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.