KHizan ka mausam ruka hua hai
ga.ī ho jab se
maiñ ek kamre meñ band sā huuñ
tumhārī yādeñ
mire ḳhayāloñ meñ
jugnuoñ kī qatār ban kar chamak rahī haiñ
tumhārī zulfeñ
mire tasavvur kī vādiyoñ meñ mahak rahī haiñ
vo baal
chāhat kī sā'atoñ meñ
tumhāre sar se jo gir ga.e the
unheñ maiñ chun kar
baḌī mohabbat se sūñghtā huuñ
tumhāre kurte se TuuT kar jo
safed motī bikhar ga.e the
unheñ maiñ chun kar
baḌī 'aqīdat se chūmtā huuñ
vo merā kamra
tumhāre aane se
jo chaman meñ badal gayā thā
hazāroñ rangoñ ke phuul khilne lage the jis meñ
tumhāre jaane se
phir se vīrān ho gayā hai
vo dil
jo dhaḌkā thā tum se mil ke
vo phir se be-jān ho gayā hai
na ab kitāboñ meñ shā'irī hai
na ab sharāboñ meñ be-ḳhudī hai
na ab gulāboñ meñ tāzgī hai
tamām gamle
tamām paude
mirī tarah se ujaḌ chuke haiñ
har ek shai pe ḳhizāñ kā mausam rukā huā hai
mire laboñ pe
tumhāre bosoñ kī jo namī thī
vo ḳhushk hone lagī hai jānāñ
mirī nazar meñ
tumhārī āñkhoñ kā jo nasha thā
vo ḳhatm hone lagā hai jānāñ
mirī zabāñ pe
tumhāre ashkoñ kā jo namak thā
vo pāniyoñ meñ badal rahā hai
tumhārī bāñhoñ kā
merī bāñhoñ meñ
lams thā jo
vo sardiyoñ meñ badal rahā hai
tum aa bhī jaao
ki dil ko phir se
qarār aa.e
surūr aa.e
ḳhumār aa.e
ki zindagī meñ bahār aa.e
gai ho jab se
main ek kamre mein band sa hun
tumhaari yaaden
mere KHayalon mein
jugnuon ki qatar ban kar chamak rahi hain
tumhaari zulfen
mere tasawwur ki wadiyon mein mahak rahi hain
wo baal
chahat ki sa'aton mein
tumhaare sar se jo gir gae the
unhen main chun kar
baDi mohabbat se sunghta hun
tumhaare kurte se TuT kar jo
safed moti bikhar gae the
unhen main chun kar
baDi 'aqidat se chumta hun
wo mera kamra
tumhaare aane se
jo chaman mein badal gaya tha
hazaron rangon ke phul khilne lage the jis mein
tumhaare jaane se
phir se viran ho gaya hai
wo dil
jo dhaDka tha tum se mil ke
wo phir se be-jaan ho gaya hai
na ab kitabon mein sha'iri hai
na ab sharabon mein be-KHudi hai
na ab gulabon mein tazgi hai
tamam gamle
tamam paude
meri tarah se ujaD chuke hain
har ek shai pe KHizan ka mausam ruka hua hai
mere labon pe
tumhaare boson ki jo nami thi
wo KHushk hone lagi hai jaanan
meri nazar mein
tumhaari aankhon ka jo nasha tha
wo KHatm hone laga hai jaanan
meri zaban pe
tumhaare ashkon ka jo namak tha
wo paniyon mein badal raha hai
tumhaari banhon ka
meri banhon mein
lams tha jo
wo sardiyon mein badal raha hai
tum aa bhi jao
ki dil ko phir se
qarar aae
surur aae
KHumar aae
ki zindagi mein bahaar aae
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 116)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.