KHizan ke git
uThāo saaz ki abr-e-bahār baaqī hai
abhī to bazm meñ kaif-o-ḳhumār baaqī hai
abhī abhī to fazā muskurā ke jaagī hai
abhī to shauq-e-dil-exbāda-ḳhvār baaqī hai
abhī na jaao bahāreñ bhī lauT jā.eñgī
abhī to sehn-e-chaman kā nikhār baaqī hai
abhī to anjuman-e-mehr-o-māh bikne do
abhī naqāb-e-ruḳh-e-husn-e-yār baaqī hai
abhī na sham.a bujhāo mire shabistān kī
thakī sī aas sar-e-rahguzār baaqī hai
abhī to jaag rahī hai nigāh-e-afsurda
abhī kisī kā use intizār baaqī hai
abhī to duur kahīñ baj rahī hai shahnā.ī
kisī hasīn dulhan kā siñghār baaqī hai
abhī to saaz hai sargam hai raat apnī hai
fazā hasīñ hai jahāñ naġhma-bār baaqī hai
abhī mujhe na kaho dāstān-e-ġham ai dost
ki zindagī pe abhī e'tibār baaqī hai
kisī ne chheḌ diye aah phir ḳhizāñ ke giit
sisak rahī hai tamannā taḌap uThā sañgīt
uThao saz ki abr-e-bahaar baqi hai
abhi to bazm mein kaif-o-KHumar baqi hai
abhi abhi to faza muskura ke jagi hai
abhi to shauq-e-dil-exbaada-KHwar baqi hai
abhi na jao bahaaren bhi lauT jaengi
abhi to sehn-e-chaman ka nikhaar baqi hai
abhi to anjuman-e-mehr-o-mah bikne do
abhi naqab-e-ruKH-e-husn-e-yar baqi hai
abhi na shama bujhao mere shabistan ki
thaki si aas sar-e-rahguzar baqi hai
abhi to jag rahi hai nigah-e-afsurda
abhi kisi ka use intizar baqi hai
abhi to dur kahin baj rahi hai shahnai
kisi hasin dulhan ka singhaar baqi hai
abhi to saz hai sargam hai raat apni hai
faza hasin hai jahan naghma-bar baqi hai
abhi mujhe na kaho dastan-e-gham ai dost
ki zindagi pe abhi e'tibar baqi hai
kisi ne chheD diye aah phir KHizan ke git
sisak rahi hai tamanna taDap uTha sangit
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.