KHizan ke phul
ye tangnā-e-qafas ye siyāsat-e-sayyād
ye āb-o-gil ke talātum yeh vus.at-e-barbād
ye tīrgī ye dil-e-mehr-o-māh kī dhaḌkan
ye āñsūoñ ke sitāre ye ismatoñ ke kafan
ye bhīgtī huī palkeñ ye TūTte hue dil
ye reg-zār-e-haqīqat ye parda-e-mahmil
ye chīḳhtī huī rūheñ ye hasratoñ ke sanam
ye bazm-e-kufr-o-yaqīñ ye jahān-e-dair-o-haram
ye shor-e-hashr ye paikār-e-sub.ha-o-zunnār
ye jāñ-gudāz fazā.eñ ye rūh-soz bahār
ye āñdhiy.oñ kī qatāreñ ye kārvān-e-hayāt
na pūchh kitne shagūfe haiñ markaz-e-āfāt
savād-e-zīst meñ tūfān aa.e haiñ kyā kyā
charāġh-e-sidq-o-safā jhilmilā.e haiñ kyā kyā
ayāġh chhūT paḌe mai-kashoñ ke hāthoñ se
ayaañ diloñ kī siyāhī hai kitne hāthoñ se
nigal chukī shab-e-ġham kin sahar-shikāroñ ko
ki zalzaloñ ne jagāyā hai fitna-zāroñ ko
hayāt marg-e-mohabbat pe nauha-ḳhvāñ hai abhī
vahī fasāna-e-iflās jāñ-sitāñ hai abhī
udās-udās sī rāteñ thake-thake se nujūm
ye abr-o-bād kī yūrish ye bijliyoñ kā hujūm
ye tiira bazm-e-jahāñ ye shikast-e-qalb-o-nazar
mahal banā.e haiñ qārūniyoñ ne lāshoñ par
diloñ pe yaas ke hote rahe sitam kyā kyā
karāhte rahe zulfoñ ke pech-o-ḳham kyā kyā
dayār-e-shauq meñ gūñje haiñ marsiye kitne
bujhā ga.ī hai nasīm-e-sahar diye kitne
vahī sadāqat-o-ehsās ke janāze haiñ
izār-e-gang-o-jaman par lahū ke ġhāze haiñ
vahī ḳhudā haiñ vahī but vahī rasūl abhī
samanistāñ meñ haiñ baaqī ḳhizāñ ke phuul abhī
chaman hazār sumūm-e-ḳhizāñ se khele haiñ
magar hanūz vahī bebasī ke mele haiñ
ye tangna-e-qafas ye siyasat-e-sayyaad
ye aab-o-gil ke talatum yeh wusat-e-barbaad
ye tirgi ye dil-e-mehr-o-mah ki dhaDkan
ye aansuon ke sitare ye ismaton ke kafan
ye bhigti hui palken ye TuTte hue dil
ye reg-zar-e-haqiqat ye parda-e-mahmil
ye chiKHti hui ruhen ye hasraton ke sanam
ye bazm-e-kufr-o-yaqin ye jahan-e-dair-o-haram
ye shor-e-hashr ye paikar-e-subha-o-zunnar
ye jaan-gudaz fazaen ye ruh-soz bahaar
ye aandhiyon ki qataren ye karwan-e-hayat
na puchh kitne shagufe hain markaz-e-afat
sawad-e-zist mein tufan aae hain kya kya
charagh-e-sidq-o-safa jhilmilae hain kya kya
ayagh chhuT paDe mai-kashon ke hathon se
ayan dilon ki siyahi hai kitne hathon se
nigal chuki shab-e-gham kin sahar-shikaron ko
ki zalzalon ne jagaya hai fitna-zaron ko
hayat marg-e-mohabbat pe nauha-KHwan hai abhi
wahi fasana-e-iflas jaan-sitan hai abhi
udas-udas si raaten thake-thake se nujum
ye abr-o-baad ki yurish ye bijliyon ka hujum
ye tera bazm-e-jahan ye shikast-e-qalb-o-nazar
mahal banae hain qaruniyon ne lashon par
dilon pe yas ke hote rahe sitam kya kya
karahte rahe zulfon ke pech-o-KHam kya kya
dayar-e-shauq mein gunje hain marsiye kitne
bujha gai hai nasim-e-sahar diye kitne
wahi sadaqat-o-ehsas ke janaze hain
izar-e-gang-o-jaman par lahu ke ghaze hain
wahi KHuda hain wahi but wahi rasul abhi
samanistan mein hain baqi KHizan ke phul abhi
chaman hazar sumum-e-KHizan se khele hain
magar hanuz wahi bebasi ke mele hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.