KHizan-nasibon pe bain karti hui hawaen
lahū kī pyāsī barahna teġhoñ ko ye patā hai
chamakte ḳhanjar ye jānte haiñ
ki shāhzādī kī laġhzishoñ se
ġhulām shāhī kī jur.atoñ se
haram kī hurmat kā ḳhuuñ huā hai
mahal kī azmat kā ḳhuuñ huā hai
sharāfatoñ aur najābatoñ ke charāġh-o-mahtāb bujh ga.e haiñ
ba-nām-e-ulfat
ye aag kaisī huī hai raushan ki tāq-o-mehrāb bujh ga.e haiñ
hurūf-e-ismat the jin se raushan
vo saare e.arāb bujh ga.e haiñ
shujā.atoñ ke amīn-e-lashkar nazar jhukā.e khaḌe hue haiñ
bas ik ishāre ke muntazir hai tabar uThā.e khaḌe hue haiñ
ba-nām-e-izzat
ba-hukm-e-shāhī
bas ek shab meñ
barahna teġhoñ ne saare manzar badal diye haiñ
fasīl-e-qasr-e-anā ke nīche vafā kī lāsheñ paḌī huī haiñ
javāñ-mohabbat kī garm lāshoñ pe kaun ro.e
ki ḳhauf-e-shāhī se bazm-e-girya ke saare ādāb bujh ga.e haiñ
koī ḳhilāf-e-sitam nahīñ hai
kisī ko rañj-o-alam nahīñ hai
zarā bhī ḳhauf-e-adam nahīñ hai
kisī kī āñkheñ bhī nam nahīñ haiñ
sitam bhī chup hai jafā bhī chup hai
tilism-e-dasht-e-navā bhī chup hai
fasīl-e-shahr-e-anā bhī chup hai
zabān-e-ḳhalq-e-ḳhudā bhī chup hai
magar lahū hai ki boltā hai
ḳhizāñ-nasīboñ pe bain kartī huī havā.eñ
junūn-o-ḳhūñ kī mahak se labrez ye fazā.eñ
samā.atoñ meñ shigāf kartī huī sadā.eñ
batā rahī haiñ
anā ke ḳhūñ-nāb āñsuoñ meñ
vafā ke sab ḳhvāb bujh ga.e haiñ
lahu ki pyasi barahna teghon ko ye pata hai
chamakte KHanjar ye jaante hain
ki shahzadi ki laghzishon se
ghulam shahi ki juraton se
haram ki hurmat ka KHun hua hai
mahal ki azmat ka KHun hua hai
sharafaton aur najabaton ke charagh-o-mahtab bujh gae hain
ba-nam-e-ulfat
ye aag kaisi hui hai raushan ki taq-o-mehrab bujh gae hain
huruf-e-ismat the jin se raushan
wo sare earab bujh gae hain
shujaaton ke amin-e-lashkar nazar jhukae khaDe hue hain
bas ek ishaare ke muntazir hai tabar uThae khaDe hue hain
ba-nam-e-izzat
ba-hukm-e-shahi
bas ek shab mein
barahna teghon ne sare manzar badal diye hain
fasil-e-qasr-e-ana ke niche wafa ki lashen paDi hui hain
jawan-mohabbat ki garm lashon pe kaun roe
ki KHauf-e-shahi se bazm-e-girya ke sare aadab bujh gae hain
koi KHilaf-e-sitam nahin hai
kisi ko ranj-o-alam nahin hai
zara bhi KHauf-e-adam nahin hai
kisi ki aankhen bhi nam nahin hain
sitam bhi chup hai jafa bhi chup hai
tilism-e-dasht-e-nawa bhi chup hai
fasil-e-shahr-e-ana bhi chup hai
zaban-e-KHalq-e-KHuda bhi chup hai
magar lahu hai ki bolta hai
KHizan-nasibon pe bain karti hui hawaen
junun-o-KHun ki mahak se labrez ye fazaen
samaaton mein shigaf karti hui sadaen
bata rahi hain
ana ke KHun-nab aansuon mein
wafa ke sab KHwab bujh gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.