khoe hue lamhe
vo mai-kada-e-husn pe umDā huā bādal
barsāt kī rātoñ meñ vo bajtā huā chhāgal
rangīn shaboñ meñ vo tirī chheḌ musalsal
har samt vo rūmān ke bahte hue dhāre
kyā ho ga.e rangīn vo lamhāt hamāre
vo nuur kā tūfān uThātī huī rāteñ
ḳhvābīda tamanna ko jagātī huī rāteñ
vo kaif meñ Duubī huī gaatī huī rāteñ
vo charḳh-e-mohabbat se baraste hue taare
kyā ho ga.e rangīn vo lamhāt hamāre
doharāo phir afsāna-e-āġhāz-e-mohabbat
phir gardish-e-sāġhar se chhiḌe sāz-e-mohabbat
phir raaz na aapas meñ rahe rāz-e-mohabbat
phir aao chaleñ sair ko dariyā ke kināre
kyā ho ga.e rangīn vo lamhāt hamāre
har-gām pe vo barq girāte hue chalnā
vo be-ḳhud-o-mad.hosh banā.e hue chalnā
vo sharm se āñchal ko dabāte hue chalnā
chitvan se ayaañ husn ke ma.asūm ishāre
kyā ho ga.e rangīn vo lamhāt hamāre
phir saarī fazā raham kī bastī nazar aa.e
har shai meñ samā.ī huī mastī nazar aa.e
har samt mohabbat hī barastī nazar aa.e
kyoñ chhup ga.e nazroñ se vo mahbūb nazzāre
kyā ho ga.e rangīn vo lamhāt hamāre
wo mai-kada-e-husn pe umDa hua baadal
barsat ki raaton mein wo bajta hua chhagal
rangin shabon mein wo teri chheD musalsal
har samt wo ruman ke bahte hue dhaare
kya ho gae rangin wo lamhat hamare
wo nur ka tufan uThati hui raaten
KHwabida tamanna ko jagati hui raaten
wo kaif mein Dubi hui gati hui raaten
wo charKH-e-mohabbat se baraste hue tare
kya ho gae rangin wo lamhat hamare
doharao phir afsana-e-aghaz-e-mohabbat
phir gardish-e-saghar se chhiDe saz-e-mohabbat
phir raaz na aapas mein rahe raaz-e-mohabbat
phir aao chalen sair ko dariya ke kinare
kya ho gae rangin wo lamhat hamare
har-gam pe wo barq giraate hue chalna
wo be-KHud-o-madhosh banae hue chalna
wo sharm se aanchal ko dabaate hue chalna
chitwan se ayan husn ke masum ishaare
kya ho gae rangin wo lamhat hamare
phir sari faza raham ki basti nazar aae
har shai mein samai hui masti nazar aae
har samt mohabbat hi barasti nazar aae
kyon chhup gae nazron se wo mahbub nazzare
kya ho gae rangin wo lamhat hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.