khoe hue zamane
kyoñ yaad aa rahe haiñ bhūle hue fasāne
guzrī huī bahāreñ kho.e hue zamāne
yā ek barg-e-gul ko āñkheñ taras rahī haiñ
yā apne dāmanoñ meñ phūloñ ke the ḳhazāne
yā aaj ḳhāk-o-sarsar haiñ un kī vajah-e-zīnat
yā the yahī gulistāñ kal tak nigār-ḳhāne
yā aaj ḳhār-o-ḳhas bhī ham ko nahīñ mayassar
yā the kabhī guloñ ke jhurmuT meñ āshiyāne
ab tak vahī sadā.eñ kānoñ meñ aa rahī haiñ
vo chahchahe vo naġhme vo raag vo tarāne
hai yaad ham-safīro tum ko vo ahd apnā
bajte the jab ḳhushī ke har vaqt shādyāne
jab thiiñ masarratoñ kī lahreñ har ek dil meñ
har vaqt DhūñDhte the tafrīh ke bahāne
husn-o-shabāb ke vo pur-kaif ahd-e-zarrīñ
vo ishq-o-āshiqī ke dilchasp kār-ḳhāne
vo jashn-e-aish-o-rāhat vo sāz-e-lutf-o-ishrat
āñkhoñ meñ phir rahe haiñ ab tak vahī zamāne
nādāñ samajh ke ham ko sayyād ne chaman meñ
dām-e-havas bichhā kar Daale vo chand daane
jin ke liye ham ab tak pachhtā rahe haiñ hamdam
kunj-e-qafas ke andar khā khā ke tāziyāne
kyon yaad aa rahe hain bhule hue fasane
guzri hui bahaaren khoe hue zamane
ya ek barg-e-gul ko aankhen taras rahi hain
ya apne damanon mein phulon ke the KHazane
ya aaj KHak-o-sarsar hain un ki wajah-e-zinat
ya the yahi gulistan kal tak nigar-KHane
ya aaj KHar-o-KHas bhi hum ko nahin mayassar
ya the kabhi gulon ke jhurmuT mein aashiyane
ab tak wahi sadaen kanon mein aa rahi hain
wo chahchahe wo naghme wo rag wo tarane
hai yaad ham-safiro tum ko wo ahd apna
bajte the jab KHushi ke har waqt shadyane
jab thin masarraton ki lahren har ek dil mein
har waqt DhunDhte the tafrih ke bahane
husn-o-shabab ke wo pur-kaif ahd-e-zarrin
wo ishq-o-ashiqi ke dilchasp kar-KHane
wo jashn-e-aish-o-rahat wo saz-e-lutf-o-ishrat
aankhon mein phir rahe hain ab tak wahi zamane
nadan samajh ke hum ko sayyaad ne chaman mein
dam-e-hawas bichha kar Dale wo chand dane
jin ke liye hum ab tak pachhta rahe hain hamdam
kunj-e-qafas ke andar kha kha ke taziyane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.