khoj
kabhī kabhī mirā bachcha savāl kartā hai
zamīn kaise banī hai ye āsmāñ kyā hai
huā thā chāñd sitāroñ kā janm kis san meñ
ab is ko kaun batā.e ki ye jahāñ kyā hai
ye vo savāl haiñ jo lā-javāb karte haiñ
baḌe baḌoñ kī bhī jin se ki aql ho hairāñ
azal se jin kī haqīqat rahī hai parde meñ
jinheñ samajh na sakā koī fāzil-e-daurāñ
ye zindagī vo samundar hai jis ke rele meñ
bahe hī jaate haiñ insān ḳhār-o-ḳhas kī tarah
magar hayāt kī rangīniyoñ pe marte haiñ
raqīq shahd meñ Duubī huī magas kī tarah
ajiib khel hai duniyā kā jis meñ gum hai bashar
na jaane rabt baḌhātā hai kis liye zar se
vo sochtā nahīñ aish us kā rang lā.egā
bachā hai kaun jahāñ meñ fanā ke ḳhanjar se
burā amal ho ki achchhā ye sab ko ḳhvāhish hai
kisī tarah to mile kaif-e-sarmadī ham ko
ye baat sochte rahte haiñ ahl-e-fikr-o-nazar
milī hai kis liye āḳhir ye zindagī ham ko
kabhi kabhi mera bachcha sawal karta hai
zamin kaise bani hai ye aasman kya hai
hua tha chand sitaron ka janm kis san mein
ab is ko kaun batae ki ye jahan kya hai
ye wo sawal hain jo la-jawab karte hain
baDe baDon ki bhi jin se ki aql ho hairan
azal se jin ki haqiqat rahi hai parde mein
jinhen samajh na saka koi fazil-e-dauran
ye zindagi wo samundar hai jis ke rele mein
bahe hi jate hain insan KHar-o-KHas ki tarah
magar hayat ki ranginiyon pe marte hain
raqiq shahd mein Dubi hui magas ki tarah
ajib khel hai duniya ka jis mein gum hai bashar
na jaane rabt baDhata hai kis liye zar se
wo sochta nahin aish us ka rang laega
bacha hai kaun jahan mein fana ke KHanjar se
bura amal ho ki achchha ye sab ko KHwahish hai
kisi tarah to mile kaif-e-sarmadi hum ko
ye baat sochte rahte hain ahl-e-fikr-o-nazar
mili hai kis liye aaKHir ye zindagi hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.