khoj
maiñ apnā naam aur paidā.ish
khoj rahī huuñ
ek aisī ḳhurdbīn se
jis meñ
pachchīsvīñ sadī kī āñkheñ
lagī huī haiñ
vo āñkheñ jin kī putlī safed
aur saklīrā siyāh hai
vo āñkheñ jo duur tak
dekh saktī haiñ aur
āTHvāñ rañg pahchān saktī haiñ
jinheñ bā.isvīñ sadī ne
daryāft karne kā da.avā kiyā thā
magar ye alamiya
jis kī kokh
vaqt ke vajūd se ḳhālī hai
merī paidā.ish ke lamhe ko
kisī calender meñ
nishān-zad karne se qāsir hai
shāyad merā janm
tiin sau saḌsaThveñ din ke
kisī ġhair-matbūa lamhe meñ huā thā
jise tash.hīr karte hue
ḳhudā-e-aslī
apnī lā-mahdūdiat kī duhā.ī detā rahā
aur ḳhirāj letā rahā
magar phir
pluto kī sard aaheñ ḳhāmosh ho ga.iiñ
surḳh patthar vaale
surḳh pattharoñ meñ chun diye ga.e
vajūdiyat
pā-shikasta vajūd se
mā-ba.ad-vajūdiyat kī
tāvīleñ gaḌhtī rahī
aur maiñ
apnī khoj ke pātāl meñ
janmoñ kī kahānī dohrāte dohrāte
nizām-e-shamsī ke dā.ere se
bāhar jā paḌī
be-kināriyat ke samundar meñ
jahāñ har natīja sifar hai
main apna nam aur paidaish
khoj rahi hun
ek aisi KHurdbin se
jis mein
pachchiswin sadi ki aankhen
lagi hui hain
wo aankhen jin ki putli safed
aur saklira siyah hai
wo aankhen jo dur tak
dekh sakti hain aur
aaTHwan rang pahchan sakti hain
jinhen baiswin sadi ne
daryaft karne ka dawa kiya tha
magar ye alamiya
jis ki kokh
waqt ke wajud se KHali hai
meri paidaish ke lamhe ko
kisi calender mein
nishan-zad karne se qasir hai
shayad mera janm
tin sau saDsaThwen din ke
kisi ghair-matbua lamhe mein hua tha
jise tashhir karte hue
KHuda-e-asli
apni la-mahdudiat ki duhai deta raha
aur KHiraj leta raha
magar phir
pluto ki sard aahen KHamosh ho gain
surKH patthar wale
surKH pattharon mein chun diye gae
wajudiyat
pa-shikasta wajud se
ma-baad-wajudiyat ki
tawilen gaDhti rahi
aur main
apni khoj ke patal mein
janmon ki kahani dohraate dohraate
nizam-e-shamsi ke daere se
bahar ja paDi
be-kinariyat ke samundar mein
jahan har natija sifar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.