khoya hua ganw
ā.eñge ik din pardes vaale
ai gaañv thoḌe aañsū bachā le
yaad aa rahe haiñ khetoñ ke phere
giilī muñDereñ bhīge savere
bādal ke pīchhe sone kī thālī
thoḌā sā kājal thoḌī sī laalī
peḌoñ ke nīche dhuñdle ujāle
masjid ke uupar uḌte kabūtar
pīpal kā saayā mandir kī chhat par
panghaT se le kar ghar kī galī tak
bhūle nahīñ haiñ dil ko abhī tak
vo phuul niile tālāb vaale
pīpal pe gūñje koyal kī kū-kū
bhīgī havā meñ miTTī kī ḳhushbū
amrā.iyoñ meñ charvāhe jhūmeñ
revaḌ charā.eñ khetoñ meñ ghūmeñ
lāThī uThā.e chādar sañbhāle
ghar ke savere bāġhoñ kī shāmeñ
dil uḌ rahā hai ThanDī havā meñ
panghaT kā pathar chhayyā re chhayyā
be-tāl paanī gahrī talaiyā
baiThī hai gorī pair apne Daale
chakkī pe aaTā piise suhāgan
māthe pe bindiyā hāthoñ meñ kangan
thālī kaTorā chaukā rasoī
rahtī ho jaise kuchh khoī-khoī
jalte tave par uñglī jalā le
lagtā hai sab kuchh gum ho gayā hai
sapne bache haiñ man kho gayā hai
kis gaañv meñ hogā ab gaañv apnā
jaane na koī jī kā taḌapnā
dukh sukh kareñ ham kis ke havāle
aaenge ek din pardes wale
ai ganw thoDe aansu bacha le
yaad aa rahe hain kheton ke phere
gili munDeren bhige sawere
baadal ke pichhe sone ki thaali
thoDa sa kajal thoDi si lali
peDon ke niche dhundle ujale
masjid ke upar uDte kabutar
pipal ka saya mandir ki chhat par
panghaT se le kar ghar ki gali tak
bhule nahin hain dil ko abhi tak
wo phul nile talab wale
pipal pe gunje koyal ki ku-ku
bhigi hawa mein miTTi ki KHushbu
amraiyon mein charwahe jhumen
rewaD charaen kheton mein ghumen
laThi uThae chadar sanbhaale
ghar ke sawere baghon ki shamen
dil uD raha hai ThanDi hawa mein
panghaT ka pathar chhayya re chhayya
be-tal pani gahri talaiya
baiThi hai gori pair apne Dale
chakki pe aaTa pise suhagan
mathe pe bindiya hathon mein kangan
thaali kaTora chauka rasoi
rahti ho jaise kuchh khoi-khoi
jalte tawe par ungli jala le
lagta hai sab kuchh gum ho gaya hai
sapne bache hain man kho gaya hai
kis ganw mein hoga ab ganw apna
jaane na koi ji ka taDapna
dukh sukh karen hum kis ke hawale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.