KHud-ehtasabi
kabhī kabhī maiñ
jab apne andar se jhāñktā huuñ
to mere bāhar kī saarī duniyā
mire muqābil khaḌā huā
zālimoñ kā lashkar dikhā.ī detī hai
aur maiñ ḳhud ko apne bāhar ke aadmī ko
ajiib sī be-ta.alluqī se
ik ajnabī ban ke dekhtā huuñ
magar vo bāhar kā maiñ
isī zālimoñ ke lashkar se
hai nabard-āzmā musalsal
kabhī vo zālim pe hamla-āvar
kabhī vo mazlūm kī himāyat meñ
dil-figār o malūl o giryāñ
vo mere andar ke maiñ se kahtā hai
bāhar aao
fasīl Dhaao
hisār toḌo
hamārī saf meñ
tumheñ bhī āḳhir
kabhī to honā paḌegā shāmil
kabhi kabhi main
jab apne andar se jhankta hun
to mere bahar ki sari duniya
mere muqabil khaDa hua
zalimon ka lashkar dikhai deti hai
aur main KHud ko apne bahar ke aadmi ko
ajib si be-talluqi se
ek ajnabi ban ke dekhta hun
magar wo bahar ka main
isi zalimon ke lashkar se
hai nabard-azma musalsal
kabhi wo zalim pe hamla-awar
kabhi wo mazlum ki himayat mein
dil-figar o malul o giryan
wo mere andar ke main se kahta hai
bahar aao
fasil Dhao
hisar toDo
hamari saf mein
tumhein bhi aaKHir
kabhi to hona paDega shamil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.