KHud-ehtisabi ki ek sham
ḳhudāyā
mujhe kyā huā hai
huā kyā hai āḳhir mujhe
ye kin vahshatoñ meñ shab-o-roz jiinā mirā ho rahā hai
mire qahqahoñ meñ ye kaisī udāsī mujhe Das rahī hai
mirī mahfiloñ meñ ye kis sūne-pan kī sadā chīḳhtī hai
mire dostoñ meñ ye kis dushmanī kī havāoñ ke jhakkaḌ mujhe khīñch kar
manzar-e-ām par lā rahe haiñ
mire dushmanoñ meñ mirī kaun sī bad-nasībī kā charchā huā hai
aqārib mire jo mirī dūriyoñ meñ bhī merī qarābat kā sukh DhūñDte the
vo ḳhāmosh haiñ
duur aur duur hote chale jā rahe haiñ
ḳhudāyā mujhe kyā huā hai
agar merā chehra badalne lagā hai
agar merī pahchān khone lagī hai
agar merī āvāz alag ho ga.ī hai
agar merī parchhā.īñ mere badan se hī Takrā rahī hai
mire ḳhvāb-zāroñ kā dariyā
agar merī vahshat kī galiyoñ meñ rusvā.iyoñ kī
ḳhazaf roltā hai
agar maiñ vahī huuñ
ki jo maiñ nahīñ huuñ
agar sach yahī hai ḳhudāyā
to bas itnā kar de
mirī dhund āñkhoñ meñ mere liye bhī koī aks bhar de
duā ke liye jab mire haath uTTheñ
to merī hathelī ko ā.īna kar de
KHudaya
mujhe kya hua hai
hua kya hai aaKHir mujhe
ye kin wahshaton mein shab-o-roz jina mera ho raha hai
mere qahqahon mein ye kaisi udasi mujhe Das rahi hai
meri mahfilon mein ye kis sune-pan ki sada chiKHti hai
mere doston mein ye kis dushmani ki hawaon ke jhakkaD mujhe khinch kar
manzar-e-am par la rahe hain
mere dushmanon mein meri kaun si bad-nasibi ka charcha hua hai
aqarib mere jo meri duriyon mein bhi meri qarabat ka sukh DhunDte the
wo KHamosh hain
dur aur dur hote chale ja rahe hain
KHudaya mujhe kya hua hai
agar mera chehra badalne laga hai
agar meri pahchan khone lagi hai
agar meri aawaz alag ho gai hai
agar meri parchhain mere badan se hi Takra rahi hai
mere KHwab-zaron ka dariya
agar meri wahshat ki galiyon mein ruswaiyon ki
KHazaf rolta hai
agar main wahi hun
ki jo main nahin hun
agar sach yahi hai KHudaya
to bas itna kar de
meri dhund aankhon mein mere liye bhi koi aks bhar de
dua ke liye jab mere hath uTThen
to meri hatheli ko aaina kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.