KHud fareb
nahīñ nahīñ mujhe nūr-e-sahar qubūl nahīñ
koī mujhe vo mirī tīrgī atā kar de
ki maiñ ne jis ke sahāre bune the ḳhvāb pe ḳhvāb
hazār rañg mire mū-qalam meñ the jin se
banā banā ke but-e-ārzū kī tasvīreñ
siyāh parda-e-shab par bikher diiñ maiñ ne
ravāñ the mere rag-o-pai meñ an-ginat naġhme
vo dukh ke giit jo lab-āshnā nahīñ ab tak
maiñ tīra-baḳht thā is tīrgī ke dāman meñ
sakūñ nasīb thā nākām ārzūoñ ko
maiñ apne ḳhvāboñ se tārīk raat se ḳhush thā
na jaane kyuuñ palaT aa.ī ho sail-e-nūr ke saath
maiñ jī rahā thā tumhāre baġhair bhī lekin
tumhārī yaad meñ maiñ ne vo but banā.e haiñ
jo aaj tum se bhī baḌh kar aziiz haiñ mujh ko
vo but mire haiñ mujhe chhoḌ kar na jā.eñge
maiñ apne-āp se be-his butoñ se ḳhush thā magar
tum aa ga.ī ho mirī tīrgī pe hañsne ko
tumhāre saath ka.ī ġham bhī lauT aa.e haiñ
nahīñ nahīñ mujhe ab soz-e-ġham kī taab nahīñ
nahīñ sahar nahīñ ta.abīr mere ḳhvāboñ kī
nahīñ mujhe na jagāo ki mere ḳhvāboñ meñ
tumhārā aks mujhe ab bhī pyaar kartā hai
nahin nahin mujhe nur-e-sahar qubul nahin
koi mujhe wo meri tirgi ata kar de
ki main ne jis ke sahaare bune the KHwab pe KHwab
hazar rang mere mu-qalam mein the jin se
bana bana ke but-e-arzu ki taswiren
siyah parda-e-shab par bikher din main ne
rawan the mere rag-o-pai mein an-ginat naghme
wo dukh ke git jo lab-ashna nahin ab tak
main tira-baKHt tha is tirgi ke daman mein
sakun nasib tha nakaam aarzuon ko
main apne KHwabon se tarik raat se KHush tha
na jaane kyun palaT aai ho sail-e-nur ke sath
main ji raha tha tumhaare baghair bhi lekin
tumhaari yaad mein main ne wo but banae hain
jo aaj tum se bhi baDh kar aziz hain mujh ko
wo but mere hain mujhe chhoD kar na jaenge
main apne-ap se be-his buton se KHush tha magar
tum aa gai ho meri tirgi pe hansne ko
tumhaare sath kai gham bhi lauT aae hain
nahin nahin mujhe ab soz-e-gham ki tab nahin
nahin sahar nahin tabir mere KHwabon ki
nahin mujhe na jagao ki mere KHwabon mein
tumhaara aks mujhe ab bhi pyar karta hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.