KHud-farebi
tum mujhe imtihān meñ Daalo
maiñ tumheñ imtihān meñ Dālūñ
phir natīja ho jis kā rusvā.ī
aur hāsil ho shām-e-tanhā.ī
is ta.alluq kā fā.eda kyā hai
is se bachne kā rāsta kyā hai
maiñ ne pahle bhī tum ko dekhā hai
aur har baar dekhnā hai kyā
jaao tum ko na.ī hayāt mile
ḳhud-farebī se ab najāt mile
maiñ koī yaad huuñ na koī ḳhayāl
merā āshiq hai tū na shahr-e-jamāl
apnī duniyā meñ ḳhush raho jānāñ
qissa-e-dard mat kaho jānāñ
raushnī se guzar ga.e saa.e
tīrgī meñ utar ga.e saa.e
phir kahīñ naam hai na koī patā
zindagī terā ghar kahāñ hai batā
tum mujhe imtihan mein Dalo
main tumhein imtihan mein Dalun
phir natija ho jis ka ruswai
aur hasil ho sham-e-tanhai
is talluq ka faeda kya hai
is se bachne ka rasta kya hai
main ne pahle bhi tum ko dekha hai
aur har bar dekhna hai kya
jao tum ko nai hayat mile
KHud-farebi se ab najat mile
main koi yaad hun na koi KHayal
mera aashiq hai tu na shahr-e-jamal
apni duniya mein KHush raho jaanan
qissa-e-dard mat kaho jaanan
raushni se guzar gae sae
tirgi mein utar gae sae
phir kahin nam hai na koi pata
zindagi tera ghar kahan hai bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.