KHud-farebi
chalo achchhā huā
ki mere ḳhvāb kī
ye phailī duur tak dīvār to TuuTī
ki is meñ an-ginat
shub.hāt ke ḳhud-sāḳhta
bekār se paude nikal aa.eñ
darāḌeñ bhī adāvat kī
ka.ī gahrī ubhar aa.iiñ
magar ik baat thī phir bhī
kabhī maiñ jab haqīqat kī
chamaktī chilchilātī dhuup se
bezār hotā aur jhulastā
to us ke saa.e meñ
ghaḌī bhar ko panāh letā
aur tāza-dam ho jaatā
chalo achchha hua
ki mere KHwab ki
ye phaili dur tak diwar to TuTi
ki is mein an-ginat
shubhat ke KHud-saKHta
bekar se paude nikal aaen
daraDen bhi adawat ki
kai gahri ubhar aain
magar ek baat thi phir bhi
kabhi main jab haqiqat ki
chamakti chilchilati dhup se
bezar hota aur jhulasta
to us ke sae mein
ghaDi bhar ko panah leta
aur taza-dam ho jata
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 86)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.