KHud-faroshi
kuchh ahl-e-chaman fasl-e-chaman bech rahe haiñ
zar ke liye nāmūs-e-vatan bech rahe haiñ
dushman haiñ ujāle ke ye zulmat ke parastār
phir sub.h-e-bahārāñ kī kiran bech rahe haiñ
jiinā jinheñ mehnat ke sahāre nahīñ aatā
tan bech rahe haiñ kabhī man bech rahe haiñ
ab maslahat-andesh hue ahl-e-junūñ bhī
shorīdgī-e-dār-o-rasan bech rahe haiñ
haq-goī meñ jo shohra-e-āfāq the kyā kyā
lab bech rahe haiñ vo dahan bech rahe haiñ
ik ahd se jo ābrū-e-bazm-e-suḳhan the
vo ābrū-e-sher-o-suḳhan bech rahe haiñ
yuuñ rehn haiñ maiḳhāne meñ ik jur.a-e-mai meñ
pākīzgī-e-gang-o-jaman bech rahe haiñ
badnām ho mai-ḳhāna bhī saaqī bhī ho rusvā
vo bāda-e-mai-ḳhāna-shikan bech rahe haiñ
kuchh ahl-e-chaman fasl-e-chaman bech rahe hain
zar ke liye namus-e-watan bech rahe hain
dushman hain ujale ke ye zulmat ke parastar
phir subh-e-bahaaran ki kiran bech rahe hain
jina jinhen mehnat ke sahaare nahin aata
tan bech rahe hain kabhi man bech rahe hain
ab maslahat-andesh hue ahl-e-junun bhi
shoridgi-e-dar-o-rasan bech rahe hain
haq-goi mein jo shohra-e-afaq the kya kya
lab bech rahe hain wo dahan bech rahe hain
ek ahd se jo aabru-e-bazm-e-suKHan the
wo aabru-e-sher-o-suKHan bech rahe hain
yun rehn hain maiKHane mein ek jura-e-mai mein
pakizgi-e-gang-o-jaman bech rahe hain
badnam ho mai-KHana bhi saqi bhi ho ruswa
wo baada-e-mai-KHana-shikan bech rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.