KHud-gharaz dost
dostī gīdaḌ se thī ik uuñT kī
rahte the jangal meñ donoñ saath hī
uuñT ne gīdaḌ se ik din yuuñ kahā
khet hai us paar naddī ke harā
neshkar jā kar vahāñ kuchh khā.eñge
peT bhar kar khet se phir ā.eñge
uuñT ne ye sun ke gīdaḌ se kahā
is se behtar baat ho saktī hai kyā
phir vahāñ se donoñ mil kar chal diye
aa ke pohñche jab kināre nahr ke
piiTh par baiThā thā gīdaḌ uuñT kī
is tarah donoñ ne naddī paar kī
khet meñ aa.e vo bāham yak-digar
so rahā thā us kā mālik be-ḳhabar
khet meñ be-ḳhauf ho kar ghus ga.e
neshkar ko toḌ kar khāte rahe
peT us gīdaḌ kā jis dam bhar gayā
uuñT se ho kar muḳhātib yuuñ kahā
ye mirī 'ādat hai achchhī yā burī
peT bhar jaatā hai merā jis ghaḌī
ḳhuub chillātā huuñ jab hotā huuñ sair
chīḳhne meñ phir nahīñ kartā huuñ der
kī ḳhushāmad uuñT ne aur yuuñ kahā
peT bhar jaane de merā Thahr jā
baat gīdaḌ ne na maanī zīnhār
ḳhuub chillāne lagā vo nābakār
us ne jab nā're lagā.e zor ke
jaag uTThā dahqāñ apnī niiñd se
ek lakḌī le ke dauḌā nā-gahāñ
us taraf the uuñT aur gīdaḌ jahāñ
us ko jab gīdaḌ ne dekhā dauḌtā
ho gayā ġhā.eb na Thahrā ik zarā
rah gayā jab uuñT akelā be-ḳhabar
lī ga.ī phir us kī DanDoñ se ḳhabar
ḳhuub hī piTtā huā nādāñ ġharīb
aa ke pahuñchā jab ki naddī ke qarīb
us ne dekhā us kā yār-e-bevafā
hai vahāñ pahle hī se aa kar khaḌā
dekh kar vo uuñT ko kahne lagā
shukr haq kā bach ga.ī jaan ai chachā
tum ko ġham karnā na hargiz chāhiye
lūñgā badla maiñ ḳhud us kambaḳht se
kuchh na bolā uuñT bas ḳhāmosh thā
aur us ko piiTh par apnī biThā
biich meñ naddī ke jab vo aa gayā
ham-safar gīdaḌ se yuuñ kahne lagā
dil meñ hai ġhota lagā.ūñ is ghaḌī
jānte haiñ sab ye 'ādat hai mirī
ye sunā to hosh us ke uḌ ga.e
phir ḳhushāmad se kahā yuuñ uuñT se
mujh ko tum pahuñchā do naddī se udhar
chāhe phir ġhote lagāo jis qadar
baat gīdaḌ kī na maanī uuñT ne
biich nadī meñ lagā vo Dūbne
bah gayā paanī meñ gīdaḌ chīḳhtā
uuñT ne is tarh badla le liyā
tum ne dekhā kis tarah hai uuñT kī
be-hayā gīdaḌ ke hāthoñ gat banī
ḳhud-ġharaz kī dostī achchhī nahīñ
vo phañsā degā tumheñ hazrat kahīñ
tum ko 'faizī' yaad rakhnā chāhiye
dostoñ se aise bachnā chāhiye
dosti gidaD se thi ek unT ki
rahte the jangal mein donon sath hi
unT ne gidaD se ek din yun kaha
khet hai us par naddi ke hara
neshkar ja kar wahan kuchh khaenge
peT bhar kar khet se phir aaenge
unT ne ye sun ke gidaD se kaha
is se behtar baat ho sakti hai kya
phir wahan se donon mil kar chal diye
aa ke pohnche jab kinare nahr ke
piTh par baiTha tha gidaD unT ki
is tarah donon ne naddi par ki
khet mein aae wo baham yak-digar
so raha tha us ka malik be-KHabar
khet mein be-KHauf ho kar ghus gae
neshkar ko toD kar khate rahe
peT us gidaD ka jis dam bhar gaya
unT se ho kar muKHatib yun kaha
ye meri 'adat hai achchhi ya buri
peT bhar jata hai mera jis ghaDi
KHub chillata hun jab hota hun sair
chiKHne mein phir nahin karta hun der
ki KHushamad unT ne aur yun kaha
peT bhar jaane de mera Thahr ja
baat gidaD ne na mani zinhaar
KHub chillane laga wo nabakar
us ne jab na're lagae zor ke
jag uTTha dahqan apni nind se
ek lakDi le ke dauDa na-gahan
us taraf the unT aur gidaD jahan
us ko jab gidaD ne dekha dauDta
ho gaya ghaeb na Thahra ek zara
rah gaya jab unT akela be-KHabar
li gai phir us ki DanDon se KHabar
KHub hi piTta hua nadan gharib
aa ke pahuncha jab ki naddi ke qarib
us ne dekha us ka yar-e-bewafa
hai wahan pahle hi se aa kar khaDa
dekh kar wo unT ko kahne laga
shukr haq ka bach gai jaan ai chacha
tum ko gham karna na hargiz chahiye
lunga badla main KHud us kambaKHt se
kuchh na bola unT bas KHamosh tha
aur us ko piTh par apni biTha
bich mein naddi ke jab wo aa gaya
ham-safar gidaD se yun kahne laga
dil mein hai ghota lagaun is ghaDi
jaante hain sab ye 'adat hai meri
ye suna to hosh us ke uD gae
phir KHushamad se kaha yun unT se
mujh ko tum pahuncha do naddi se udhar
chahe phir ghote lagao jis qadar
baat gidaD ki na mani unT ne
bich nadi mein laga wo Dubne
bah gaya pani mein gidaD chiKHta
unT ne is tarh badla le liya
tum ne dekha kis tarah hai unT ki
be-haya gidaD ke hathon gat bani
KHud-gharaz ki dosti achchhi nahin
wo phansa dega tumhein hazrat kahin
tum ko 'faizi' yaad rakhna chahiye
doston se aise bachna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.