KHud-kalami
ek dahā.ī kā arsa bhī
koī arsa hotā hai dost
lekin ye bhī sach hai dost
mere bāloñ meñ tū utrī
aur phailī hai chāñdī
laakh chhupānā chāhūñ lekin
chuġhlī khā hī jaatī hai
laal ho yā kaalī mehñdī
umr kī makḌī
jhurriyoñ ke
jaale buntī jaatī hai
yuuñ lagtā hai jaise ek dahā.ī bhī koī
ek sadī hotī hai
lekin ye bhī sach hai dost
lams kī ḳhushbū
qurb kī hiddat
yaad kī sham.a
sab kuchh taaza taaza hai
ya.anī ruuh meñ basne vāloñ ko to
hijr kā ġham hī zinda rakhtā hai
ek dahā.ī chāhe guzre
chāhe guzre ek sadī
sach to ye hai ab tak tum
mere andar zinda ho
lekin bolo
kyā maiñ bhī zinda huuñ
ek dahai ka arsa bhi
koi arsa hota hai dost
lekin ye bhi sach hai dost
mere baalon mein tu utri
aur phaili hai chandi
lakh chhupana chahun lekin
chughli kha hi jati hai
lal ho ya kali mehndi
umr ki makDi
jhurriyon ke
jale bunti jati hai
yun lagta hai jaise ek dahai bhi koi
ek sadi hoti hai
lekin ye bhi sach hai dost
lams ki KHushbu
qurb ki hiddat
yaad ki shama
sab kuchh taza taza hai
yani ruh mein basne walon ko to
hijr ka gham hi zinda rakhta hai
ek dahai chahe guzre
chahe guzre ek sadi
sach to ye hai ab tak tum
mere andar zinda ho
lekin bolo
kya main bhi zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.