KHud-kalami
kaisī ābād hai ye tanhā.ī
kis qadar boltā hai sannāTā
raat tārīk bahr meñ naav
ḳhud-kalāmī kī rau meñ bahtī huī
zer-e-lab guftugū kī lahreñ haiñ
dhuāñ fazā meñ
syāhī kī in naqāboñ meñ
na jaane kis ne ye chheḌī haiñ
kaun suntā hai
kaisi aabaad hai ye tanhai
kis qadar bolta hai sannaTa
raat tarik bahr mein naw
KHud-kalami ki rau mein bahti hui
zer-e-lab guftugu ki lahren hain
dhuan faza mein
syahi ki in naqabon mein
na jaane kis ne ye chheDi hain
kaun sunta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.