KHud-kalami KHatun-e-KHana ki
kuchh ḳhaas nahīñ hai
vahī roz-o-shab haiñ
har din nayā din hai
aur din guzar jaanā hai
oh bachche schōl se aane vaale haiñ
aur bachchoñ ke liye lunch bhī banānā hai
sub.h nāshte meñ maiñ ghanchakkar banī hotī huuñ
Time kī kamī nāshta adhūrā chhoḌ jaane kā achchhā bahānā hai
are yaad hī na rahā saas kī davā ḳhatm hone vaalī hai
aur kitchen kā kuchh sāmān bhī laanā hai
baabā bīmār haiñ ka.ī dinoñ se ammī kī taraf jaanā hai
kapḌe dhone haiñ abhī shirt kā baTan Tañknā hai
kitnā achchhā mausam hai bādaloñ ke sañg gungunāne kā
magar dāvat hai kal aur raat kā khānā banānā hai
vo kah ga.e haiñ ghar bikhrā paḌā hai
dusting kyuuñ nahīñ kartī achchhe se mehmānoñ ne kal aanā hai
kabāb banā kar rakhe haiñ abhī frēze meñ
ab bachchoñ ko paḌhānā hai
cousin haspatāl meñ admit hai us kī ayādat ko jaanā hai
phuul kitne murjhā ga.e haiñ unheñ paanī lagānā hai
thak kar chuur ho ga.ī huuñ magar un ke liye
achchhe se tayyār honā hai
vo kahte haiñ pahle kitnī achchhī lagtī thiiñ aur ab
vaqt kī kamī bas ḳhayāl na rakhne kā bahāna hai
kuchh KHas nahin hai
wahi roz-o-shab hain
har din naya din hai
aur din guzar jaana hai
oh bachche school se aane wale hain
aur bachchon ke liye lunch bhi banana hai
subh nashte mein main ghanchakkar bani hoti hun
Time ki kami nashta adhura chhoD jaane ka achchha bahana hai
are yaad hi na raha sas ki dawa KHatm hone wali hai
aur kitchen ka kuchh saman bhi lana hai
baba bimar hain kai dinon se ammi ki taraf jaana hai
kapDe dhone hain abhi shirt ka baTan Tankna hai
kitna achchha mausam hai baadalon ke sang gungunane ka
magar dawat hai kal aur raat ka khana banana hai
wo kah gae hain ghar bikhra paDa hai
dusting kyun nahin karti achchhe se mehmanon ne kal aana hai
kabab bana kar rakhe hain abhi freeze mein
ab bachchon ko paDhana hai
cousin haspatal mein admit hai us ki ayaadat ko jaana hai
phul kitne murjha gae hain unhen pani lagana hai
thak kar chur ho gai hun magar un ke liye
achchhe se tayyar hona hai
wo kahte hain pahle kitni achchhi lagti thin aur ab
waqt ki kami bas KHayal na rakhne ka bahana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.