KHud-kalami se puchha nahin
surma.ī bādaloñ ko uḌā le ga.ī
ras bharī bārisheñ khā ga.ī
ab ufuq par haiñ zahrāb nīlāhaTeñ
kāsnī bel dīvār par
soī hī rah ga.ī
nargisī phuul the
jāgte rah ga.e
champa.ī rañgtoñ meñ
ajab zardiyāñ ghul ga.iiñ
khel rañgoñ kā hai
oT kāġhaz kī hai
haath kī be-hunar larzisheñ
rañg kab chun sakīñ
sochte sochte aañkh sākit huī
kaun se rañg meñ
kaun sā rañg hai ghul gayā
ātishīñ hai dahak
yā gulābī mahak
dekhtī bhī nahīñ
sūñghtī bhī nahīñ
chhū ke bhī to yahāñ se guzartī nahīñ
kaun sī his jag.hoñ
ki jaage huā
surmai baadalon ko uDa le gai
ras bhari barishen kha gai
ab ufuq par hain zahrab nilahaTen
kasni bel diwar par
soi hi rah gai
nargisi phul the
jagte rah gae
champai rangton mein
ajab zardiyan ghul gain
khel rangon ka hai
oT kaghaz ki hai
hath ki be-hunar larzishen
rang kab chun sakin
sochte sochte aankh sakit hui
kaun se rang mein
kaun sa rang hai ghul gaya
aatishin hai dahak
ya gulabi mahak
dekhti bhi nahin
sunghti bhi nahin
chhu ke bhi to yahan se guzarti nahin
kaun si his jaghon
ki jage hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.