KHud ko KHud mein tahlil karo
chup-chāp raho
varna ḳhāmoshī kī chādar
chaak ho jā.egī
mumkin hai is kī ye paakī bhī
paakī na rah jaa.e
aur yahīñ phir din ke Dhalne par
ehsās-e-gunah baḌh jaa.e
pākī, paakī na rah jaa.e
aur yahīñ ye ḳhāmoshī kī chādar
oḌh na paa.e
koḌh man kā vo ban jaa.e
behtar hai chup-chāp raho
is ḳhāmoshī kī chādar ko
gard-e-anā se duur rakho
ḳhud ko duniyā se duur rakho
duniyā ḳhud ban jaao
apne andar tah-dar-tah bātin meñ
ek jahāñ ābād karo
aḳhlāq o sadāqat
sabr-o-qanā.at
abd o riyāzat
samteñ ban jaa.eñ
arz o samā ban jaa.eñ
ḳhud ko ḳhud meñ tahlīl karo
apnī phir takmīl karo
chup-chap raho
warna KHamoshi ki chadar
chaak ho jaegi
mumkin hai is ki ye paki bhi
paki na rah jae
aur yahin phir din ke Dhalne par
ehsas-e-gunah baDh jae
paki, paki na rah jae
aur yahin ye KHamoshi ki chadar
oDh na pae
koDh man ka wo ban jae
behtar hai chup-chap raho
is KHamoshi ki chadar ko
gard-e-ana se dur rakho
KHud ko duniya se dur rakho
duniya KHud ban jao
apne andar tah-dar-tah baatin mein
ek jahan aabaad karo
aKHlaq o sadaqat
sabr-o-qanaat
abd o riyazat
samten ban jaen
arz o sama ban jaen
KHud ko KHud mein tahlil karo
apni phir takmil karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.