KHud ko pahchanen hum
be-māñge
insān bane ham
ashraf bhī kahlā.e
is ke liye
ibn-e-ādam ne
koī arzī nahīñ bhejī thī
be-māñge hī
īmāñ kā anmol ik hiirā bhī
qudrat ne hameñ baḳhshā
jis ke ham
kaash qadr-dāñ bhī kuchh hote
hiirā pā kar kho deñge to
kitnī zillat hogī apnī
zillat ke daldal se
kaise nikleñge ham
socheñ
apnī qīmat parkheñ
dil kā ā.īna bhī dekheñ
ḳhud ko pahchāneñ ham
be-mange
insan bane hum
ashraf bhi kahlae
is ke liye
ibn-e-adam ne
koi arzi nahin bheji thi
be-mange hi
iman ka anmol ek hira bhi
qudrat ne hamein baKHsha
jis ke hum
kash qadr-dan bhi kuchh hote
hira pa kar kho denge to
kitni zillat hogi apni
zillat ke daldal se
kaise niklenge hum
sochen
apni qimat parkhen
dil ka aaina bhi dekhen
KHud ko pahchanen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.